Thursday, 15 June 2017

zindagi imtihan hai.


Zindagi ajeeb hoti hai phr zindagi main anay walay loug? Zindagi k qadam qadam par imtihan zindagi ko ajeeb aur mushkil bana daytay hain? kai dino k baad aj  likhnay baithi toh bas qalam chalta gaya. Ruka he nahi. "Zindagi gulzar nahi hoti, zindagi bas ek imtihan hai" jo sirf mout k sth he khtm hota hai. Insan kuch acha kareay to loug usmain burai dhoond niklty hain.Insan kuch galat kardain to ussy neecha dikhnay ka mouqa hath sy janay nhe daytay. Insan nakaam ho to usy nakami ka ehsas dila dila kr usy nikama insan bana daaltay hain. Insan kamiyb hujai to usy jalan hasad main kai na kai kamiybi ko dabany chuapany ki koshish krtay hain. Insan khamosh hujai to ussay bolnay par uksatay hain insan bolna shuru kardain to usi insan pr badtimz ka tag lagaty hain. Insan apni kamzori chupai aur kisi sy bayan naa kare to usy mazbot insan smjh kr pattar barastay hain. Insan tot kr bikhar jai to kisi toti hui paaer ki dali aur patto ki tarah hamdardi ki shakal main usy jalatay hain. Insan agay barhna chahay to usk rastay main kantay  bichatay hain insan peechay reh jai to us par nakami ka label lagatay hain. Insan mohabbat dain to uski mohabbat main shak kartay hain insan izhar naa kare to usy sang dil smjh kr chorr jatay hain. Insan takleef main tarpata rehay to koi pouchta tak nhe. Insan ki zindagi main koi khushi ka lamha ajai to kehty hain humri yaad nahi ai
Zindagi ajeeb hoti hai phr zindagi main anay walay loug? Zindagi k qadam qadam par imtihan zindagi ko ajeeb aur mushkil bana daytay hain? kai dino k baad aj likhnay baithi toh bas qalam chalta gaya. Ruka he nahi. "Zindagi gulzar nahi hoti, zindagi bas ek imtihan hai" jo sirf mout k sth he khtm hota hai. Insan kuch acha kareay to loug usmain burai dhoond niklty hain.Insan kuch galat kardain to ussy neecha dikhnay ka mouqa hath sy janay nhe daytay. Insan nakaam ho to usy nakami ka ehsas dila dila kr usy nikama insan bana daaltay hain. Insan kamiyb hujai to usy jalan hasad main kai na kai kamiybi ko dabany chuapany ki koshish krtay hain. Insan khamosh hujai to ussay bolnay par uksatay hain insan bolna shuru kardain to usi insan pr badtimz ka tag lagaty hain. Insan apni kamzori chupai aur kisi sy bayan naa kare to usy mazbot insan smjh kr pattar barastay hain. Insan tot kr bikhar jai to kisi toti hui paaer ki dali aur patto ki tarah hamdardi ki shakal main usy jalatay hain. Insan agay barhna chahay to usk rastay main kantay bichatay hain insan peechay reh jai to us par nakami ka label lagatay hain. Insan mohabbat dain to uski mohabbat main shak kartay hain insan izhar naa kare to usy sang dil smjh kr chorr jatay hain. Insan takleef main tarpata rehay to koi pouchta tak nhe. Insan ki zindagi main koi khushi ka lamha ajai to kehty hain humri yaad nahi ai kia. Insan rishtay banaany main jhuk jai to gira hua smjhtay hain insan na jhukay to aana parsaat smjhtay hain.insan agr kisi ki nagawar baat darguzar kr k , apny gussay ko bhula kr kisi sy hans k bat karlain to munafiq, insan agr kisi ko sari zindagi maff na kare to sangdil, ana parasaat, Zindagi sirf imtihan ka naam hai. Jo hum sy Allah laytay hain, par is imtihan ko muhskil taren bana dainy wlay insan he hotay hain. Jo dusray insano ka khoon chusnay k siwa koi kaam nh karti, yah duniya bas fariab matlbi aur khudgarzo ki hai. Jahan rishton main moahbabt jaisa paak jazba to honay k bht loug dawa kartay hain par "wqt" aur "zarorat" un sab dawo ko galat sabit kardayti hai. Insan ka sabsy bara duhsman usk bura wqt nahi balkay acha wqt hota hai jo kai chehro ko chupai rkhta hai uska dost to bura wqt hota hai jo kai apno main chupay ghairo ko benaqab kardaytay hain. Logo k asal chehray samny laytay hain. Zindagi gulzar nahi bas imtihan hai faqat imtihan jo insan ki akhairi saans pr khtm hota hai aur jiska phaal woh akhairyat main pata hai!
16 june 2017

Saturday, 27 May 2017

28 may 2016


Kabhi kabhi loug humain is qadar gher laiyaty hai k apny aas ps andheray k siwa kuch bhe mehsos nh hota. Apna wajud dekhai nh dayta lagta hai jaisy kali ghaata chaa gaye ho. Aur unki baatain bijli ki tarah dil par girti ho.. unk garajtay hui lehjay aisay dil ko dara daytay ho jis say ankhon say barsat hona shuru hujati ho.. jiski taiz hawa sb kuch ujar dayti ho..par wo kia janay jab barsat ki tabhai k baad churiya phr sy apna gholsa banati h to wo pehly
Sy bhe ziada mazbot hota hai.. wo kiya janay mousam humesha ek jaisa thuri rehta hai.. wo kia janay hawa kay jhunkay patton ko darakht sy alag to kar daytay hai par un pr ek bar phr naye pattay atay hai.. wo kia janay kisi ko daranay walay kisi ko dard pouchanay walay kisi ka dil dukhanay walay jab mazbot bantay hai to wo loug ko peechay chore daytay hai.. wo logo ko takleef daynay walay kiya janay jb pattar khatay khatay koi pattar dil banta h to usko koi bari si bari taqqat tor nh pati agr koshish b krti h to woh ek chaataan ban jata hai phr jo ussy takranay ki koshs krta hai reza reza hujata hai.. reza reza.

Friday, 17 February 2017


zindagi main kuch lamhay aisay bhe atay hain Jab apkay pas koi jawab nhe hota. ap kisi ko apni baat samjha nhe patay unhe keh nh paatay. khamosh hujatay hain kyun kay apko lagta hai koi insan apko samjh nh sakta. aur agr ap usy samjhnay ki koshish bhe karen toh woh apko galat hi samjhta hai. ap usy kinara kashi ikhtiyar karlayaty hain aur phir kabhi lout kr wapis naa janay ki thaan laytay hain. apny dil ko bhe samjha layatay hain hazar br dil say jang larhtay hain hazar bar haartay hain. kai kai raatain ro kr guzartay hain.phr ik din dil bhe thak jata ha. ankhain bhe thaak jati hain. anso bhe tham jatay hain..aur phr humesha k liye dil udas rehta hai par pachwata gham dard nh hota. ussy adat hujati hai ussay luft anay lagta hai ussay dard ka maza anay lagta hai wo uska ahista ahista adi ban jta hai aur phr us adat ko churwaya behad mushkil hota hai woh kabhi nh jati .. jab tak insan ki rooh usk jism say nikal naa jai.. woh gham ka nasha usi kay marnay k sath khatam huta hai.
syeda !