Friday, 17 February 2017
zindagi main kuch lamhay aisay bhe atay hain Jab apkay pas koi jawab nhe hota. ap kisi ko apni baat samjha nhe patay unhe keh nh paatay. khamosh hujatay hain kyun kay apko lagta hai koi insan apko samjh nh sakta. aur agr ap usy samjhnay ki koshish bhe karen toh woh apko galat hi samjhta hai. ap usy kinara kashi ikhtiyar karlayaty hain aur phir kabhi lout kr wapis naa janay ki thaan laytay hain. apny dil ko bhe samjha layatay hain hazar br dil say jang larhtay hain hazar bar haartay hain. kai kai raatain ro kr guzartay hain.phr ik din dil bhe thak jata ha. ankhain bhe thaak jati hain. anso bhe tham jatay hain..aur phr humesha k liye dil udas rehta hai par pachwata gham dard nh hota. ussy adat hujati hai ussay luft anay lagta hai ussay dard ka maza anay lagta hai wo uska ahista ahista adi ban jta hai aur phr us adat ko churwaya behad mushkil hota hai woh kabhi nh jati .. jab tak insan ki rooh usk jism say nikal naa jai.. woh gham ka nasha usi kay marnay k sath khatam huta hai.
syeda !
Subscribe to:
Posts (Atom)