Thursday, 15 June 2017

zindagi imtihan hai.


Zindagi ajeeb hoti hai phr zindagi main anay walay loug? Zindagi k qadam qadam par imtihan zindagi ko ajeeb aur mushkil bana daytay hain? kai dino k baad aj  likhnay baithi toh bas qalam chalta gaya. Ruka he nahi. "Zindagi gulzar nahi hoti, zindagi bas ek imtihan hai" jo sirf mout k sth he khtm hota hai. Insan kuch acha kareay to loug usmain burai dhoond niklty hain.Insan kuch galat kardain to ussy neecha dikhnay ka mouqa hath sy janay nhe daytay. Insan nakaam ho to usy nakami ka ehsas dila dila kr usy nikama insan bana daaltay hain. Insan kamiyb hujai to usy jalan hasad main kai na kai kamiybi ko dabany chuapany ki koshish krtay hain. Insan khamosh hujai to ussay bolnay par uksatay hain insan bolna shuru kardain to usi insan pr badtimz ka tag lagaty hain. Insan apni kamzori chupai aur kisi sy bayan naa kare to usy mazbot insan smjh kr pattar barastay hain. Insan tot kr bikhar jai to kisi toti hui paaer ki dali aur patto ki tarah hamdardi ki shakal main usy jalatay hain. Insan agay barhna chahay to usk rastay main kantay  bichatay hain insan peechay reh jai to us par nakami ka label lagatay hain. Insan mohabbat dain to uski mohabbat main shak kartay hain insan izhar naa kare to usy sang dil smjh kr chorr jatay hain. Insan takleef main tarpata rehay to koi pouchta tak nhe. Insan ki zindagi main koi khushi ka lamha ajai to kehty hain humri yaad nahi ai
Zindagi ajeeb hoti hai phr zindagi main anay walay loug? Zindagi k qadam qadam par imtihan zindagi ko ajeeb aur mushkil bana daytay hain? kai dino k baad aj likhnay baithi toh bas qalam chalta gaya. Ruka he nahi. "Zindagi gulzar nahi hoti, zindagi bas ek imtihan hai" jo sirf mout k sth he khtm hota hai. Insan kuch acha kareay to loug usmain burai dhoond niklty hain.Insan kuch galat kardain to ussy neecha dikhnay ka mouqa hath sy janay nhe daytay. Insan nakaam ho to usy nakami ka ehsas dila dila kr usy nikama insan bana daaltay hain. Insan kamiyb hujai to usy jalan hasad main kai na kai kamiybi ko dabany chuapany ki koshish krtay hain. Insan khamosh hujai to ussay bolnay par uksatay hain insan bolna shuru kardain to usi insan pr badtimz ka tag lagaty hain. Insan apni kamzori chupai aur kisi sy bayan naa kare to usy mazbot insan smjh kr pattar barastay hain. Insan tot kr bikhar jai to kisi toti hui paaer ki dali aur patto ki tarah hamdardi ki shakal main usy jalatay hain. Insan agay barhna chahay to usk rastay main kantay bichatay hain insan peechay reh jai to us par nakami ka label lagatay hain. Insan mohabbat dain to uski mohabbat main shak kartay hain insan izhar naa kare to usy sang dil smjh kr chorr jatay hain. Insan takleef main tarpata rehay to koi pouchta tak nhe. Insan ki zindagi main koi khushi ka lamha ajai to kehty hain humri yaad nahi ai kia. Insan rishtay banaany main jhuk jai to gira hua smjhtay hain insan na jhukay to aana parsaat smjhtay hain.insan agr kisi ki nagawar baat darguzar kr k , apny gussay ko bhula kr kisi sy hans k bat karlain to munafiq, insan agr kisi ko sari zindagi maff na kare to sangdil, ana parasaat, Zindagi sirf imtihan ka naam hai. Jo hum sy Allah laytay hain, par is imtihan ko muhskil taren bana dainy wlay insan he hotay hain. Jo dusray insano ka khoon chusnay k siwa koi kaam nh karti, yah duniya bas fariab matlbi aur khudgarzo ki hai. Jahan rishton main moahbabt jaisa paak jazba to honay k bht loug dawa kartay hain par "wqt" aur "zarorat" un sab dawo ko galat sabit kardayti hai. Insan ka sabsy bara duhsman usk bura wqt nahi balkay acha wqt hota hai jo kai chehro ko chupai rkhta hai uska dost to bura wqt hota hai jo kai apno main chupay ghairo ko benaqab kardaytay hain. Logo k asal chehray samny laytay hain. Zindagi gulzar nahi bas imtihan hai faqat imtihan jo insan ki akhairi saans pr khtm hota hai aur jiska phaal woh akhairyat main pata hai!
16 june 2017