قلم اور میں
Thursday, 15 June 2017
zindagi imtihan hai.
Zindagi ajeeb hoti hai phr zindagi main anay walay loug? Zindagi k qadam qadam par imtihan zindagi ko ajeeb aur mushkil bana daytay hain? kai dino k baad aj likhnay baithi toh bas qalam chalta gaya. Ruka he nahi. "Zindagi gulzar nahi hoti, zindagi bas ek imtihan hai" jo sirf mout k sth he khtm hota hai. Insan kuch acha kareay to loug usmain burai dhoond niklty hain.Insan kuch galat kardain to ussy neecha dikhnay ka mouqa hath sy janay nhe daytay. Insan nakaam ho to usy nakami ka ehsas dila dila kr usy nikama insan bana daaltay hain. Insan kamiyb hujai to usy jalan hasad main kai na kai kamiybi ko dabany chuapany ki koshish krtay hain. Insan khamosh hujai to ussay bolnay par uksatay hain insan bolna shuru kardain to usi insan pr badtimz ka tag lagaty hain. Insan apni kamzori chupai aur kisi sy bayan naa kare to usy mazbot insan smjh kr pattar barastay hain. Insan tot kr bikhar jai to kisi toti hui paaer ki dali aur patto ki tarah hamdardi ki shakal main usy jalatay hain. Insan agay barhna chahay to usk rastay main kantay bichatay hain insan peechay reh jai to us par nakami ka label lagatay hain. Insan mohabbat dain to uski mohabbat main shak kartay hain insan izhar naa kare to usy sang dil smjh kr chorr jatay hain. Insan takleef main tarpata rehay to koi pouchta tak nhe. Insan ki zindagi main koi khushi ka lamha ajai to kehty hain humri yaad nahi ai
Zindagi ajeeb hoti hai phr zindagi main anay walay loug? Zindagi k qadam qadam par imtihan zindagi ko ajeeb aur mushkil bana daytay hain? kai dino k baad aj likhnay baithi toh bas qalam chalta gaya. Ruka he nahi. "Zindagi gulzar nahi hoti, zindagi bas ek imtihan hai" jo sirf mout k sth he khtm hota hai. Insan kuch acha kareay to loug usmain burai dhoond niklty hain.Insan kuch galat kardain to ussy neecha dikhnay ka mouqa hath sy janay nhe daytay. Insan nakaam ho to usy nakami ka ehsas dila dila kr usy nikama insan bana daaltay hain. Insan kamiyb hujai to usy jalan hasad main kai na kai kamiybi ko dabany chuapany ki koshish krtay hain. Insan khamosh hujai to ussay bolnay par uksatay hain insan bolna shuru kardain to usi insan pr badtimz ka tag lagaty hain. Insan apni kamzori chupai aur kisi sy bayan naa kare to usy mazbot insan smjh kr pattar barastay hain. Insan tot kr bikhar jai to kisi toti hui paaer ki dali aur patto ki tarah hamdardi ki shakal main usy jalatay hain. Insan agay barhna chahay to usk rastay main kantay bichatay hain insan peechay reh jai to us par nakami ka label lagatay hain. Insan mohabbat dain to uski mohabbat main shak kartay hain insan izhar naa kare to usy sang dil smjh kr chorr jatay hain. Insan takleef main tarpata rehay to koi pouchta tak nhe. Insan ki zindagi main koi khushi ka lamha ajai to kehty hain humri yaad nahi ai kia. Insan rishtay banaany main jhuk jai to gira hua smjhtay hain insan na jhukay to aana parsaat smjhtay hain.insan agr kisi ki nagawar baat darguzar kr k , apny gussay ko bhula kr kisi sy hans k bat karlain to munafiq, insan agr kisi ko sari zindagi maff na kare to sangdil, ana parasaat, Zindagi sirf imtihan ka naam hai. Jo hum sy Allah laytay hain, par is imtihan ko muhskil taren bana dainy wlay insan he hotay hain. Jo dusray insano ka khoon chusnay k siwa koi kaam nh karti, yah duniya bas fariab matlbi aur khudgarzo ki hai. Jahan rishton main moahbabt jaisa paak jazba to honay k bht loug dawa kartay hain par "wqt" aur "zarorat" un sab dawo ko galat sabit kardayti hai. Insan ka sabsy bara duhsman usk bura wqt nahi balkay acha wqt hota hai jo kai chehro ko chupai rkhta hai uska dost to bura wqt hota hai jo kai apno main chupay ghairo ko benaqab kardaytay hain. Logo k asal chehray samny laytay hain. Zindagi gulzar nahi bas imtihan hai faqat imtihan jo insan ki akhairi saans pr khtm hota hai aur jiska phaal woh akhairyat main pata hai!
16 june 2017
Saturday, 27 May 2017
28 may 2016
Kabhi kabhi loug humain is qadar gher laiyaty hai k apny aas ps andheray k siwa kuch bhe mehsos nh hota. Apna wajud dekhai nh dayta lagta hai jaisy kali ghaata chaa gaye ho. Aur unki baatain bijli ki tarah dil par girti ho.. unk garajtay hui lehjay aisay dil ko dara daytay ho jis say ankhon say barsat hona shuru hujati ho.. jiski taiz hawa sb kuch ujar dayti ho..par wo kia janay jab barsat ki tabhai k baad churiya phr sy apna gholsa banati h to wo pehly
Sy bhe ziada mazbot hota hai.. wo kiya janay mousam humesha ek jaisa thuri rehta hai.. wo kia janay hawa kay jhunkay patton ko darakht sy alag to kar daytay hai par un pr ek bar phr naye pattay atay hai.. wo kia janay kisi ko daranay walay kisi ko dard pouchanay walay kisi ka dil dukhanay walay jab mazbot bantay hai to wo loug ko peechay chore daytay hai.. wo logo ko takleef daynay walay kiya janay jb pattar khatay khatay koi pattar dil banta h to usko koi bari si bari taqqat tor nh pati agr koshish b krti h to woh ek chaataan ban jata hai phr jo ussy takranay ki koshs krta hai reza reza hujata hai.. reza reza.
Friday, 21 April 2017
Friday, 17 February 2017
zindagi main kuch lamhay aisay bhe atay hain Jab apkay pas koi jawab nhe hota. ap kisi ko apni baat samjha nhe patay unhe keh nh paatay. khamosh hujatay hain kyun kay apko lagta hai koi insan apko samjh nh sakta. aur agr ap usy samjhnay ki koshish bhe karen toh woh apko galat hi samjhta hai. ap usy kinara kashi ikhtiyar karlayaty hain aur phir kabhi lout kr wapis naa janay ki thaan laytay hain. apny dil ko bhe samjha layatay hain hazar br dil say jang larhtay hain hazar bar haartay hain. kai kai raatain ro kr guzartay hain.phr ik din dil bhe thak jata ha. ankhain bhe thaak jati hain. anso bhe tham jatay hain..aur phr humesha k liye dil udas rehta hai par pachwata gham dard nh hota. ussy adat hujati hai ussay luft anay lagta hai ussay dard ka maza anay lagta hai wo uska ahista ahista adi ban jta hai aur phr us adat ko churwaya behad mushkil hota hai woh kabhi nh jati .. jab tak insan ki rooh usk jism say nikal naa jai.. woh gham ka nasha usi kay marnay k sath khatam huta hai.
syeda !
Thursday, 5 January 2017
Tuesday, 13 December 2016
13 dec.
Jab ap likhtay hain to kahin dost apk khelaf hujaitay hain. Kahin apki raai sy iqtifaaq krny lag jatay hain kahin ko apk alfaz pasand nhe atay. Kahin apko apl lafzon sy apki shahkhisyat ko tatola shuru hujatay hain. Yah janay baghair k ap jo likh rahay hain woh apka qalam to likh raha hai. Ap apni souch ka izhar to karrhy hain. Lakin halat aur mahool k mutabiq likh rhy hain. Haqiqat par likh rahay hain. Par kahin loug apki raai sy itifaaq nhe kartay aur apk khelaf ho kr ap k lie dil main nafrat paida kr laytay hain..Yah janay bina k "ek likhari ka kaam likhna hai..agr wo khamosh hujai aur apk nazariye ko sahe smjhtay hui haqiqat sy mau chura kr likhna shuru kardain toh apny Qalam k sth sth apny Mashray k logo k sth nainsafi karega.! Humain sbk nazariye ka ahtarm kartay huway apna nazariya batana chaye. Badtamizi aur jazbat , gussay . ko ek taraf rakh k baat karna chaye. Apny mazhab firqay maslaak ko dekh kr dusro k baray main galat/bura souchay baghair apna nazariye pesh karna chaye. Ek likhari pr bht pressure hota hai logo ki raayi ka. Rishto ka. Wo agr sach likhay yah wo baat likhay jo usk apno ko bura lagay to wo kahin rishtay khoo dayta hai. Shayad is liye aksar likhari apni zaat main tanha hotay hain. ! Woh kisi ko bura lagay baghair haqiqat sachai sy likhnay ka paband hota hai. Jab loug usy nhe manay to usk kirdaar pr to kabhi usk aqeeday pr to kabi usk khaandaan pr to kabhi uski zaat pr ugli uthany lagtay hain. Is liye likhnay ka kaam aisa hai k ap kahin dushman hotay hain to kahin dost. ! Par uska rishta agr kisi k sth gehra aur sacha hota hai to wo usk alfaz hotay hain.😊
Sunday, 13 November 2016
90's- The Golden era
Jaisay jaisay duniya taizi sy tareeqi ki janib jati ja rahi hai waisy he insan ki zindagi main roz ba roz tabdili ati jarhi hai kehtay hain insan ko waqt kay sath badalna parta hai aur duniya k sath chalna parta hai warna wo peechay reh jata hai.. technology nay jis taizi sy insan ko apni taraf keencha aur jagra hai usy insan bahir ana bhe chahay to nahi aaskta. Chahay bacha ho nojawan ho ya burrha har insan iskay jaal main phansa nazar ata hai. Technology nay wahin kahin logo ki zindagi asan ki hai aur dur darz logon say rabta k lye asani paida ki hai wahin kahin apny ird gird majod logo ko dur aur tanha bana dia hai. Hum chaltay hain 80's 90's kay us khubsurat durr main jis sy kahin logo ki yaadain wabasta hain wo khubsurat durr jo ab phir kabhi lout kar nahi aiga.
Pakistani television
Ptv kay wo khubsurat dramay jinkay naam sun kar jee aisa machalta hai kay unhe ek bar phir dekhnay ko dil chahata hai. Behudgi say paak aur family kay sath baith kar dekh walay wo dramay thy jin main rishto ka lehaz ahtaram aur koi sabaq majod hota tha. Yah wo dur tha jismain wo chehray samnay ai jin main beintiha talent majod tha jo apni lagan aur musalsal mehnat kay baad legends kehalai. Chahay woh bacho ka pasandega ainak wala jin ho yah nojawanon buzurgo main behad muqbol drama Khuda ki basti , agaan taira ho. In Ptv kay dramaon main kaam karnay walay adakaro nay jo khubsrat dur Pakistan ko dia ab wo lout kar phir kabi nh asakta.
Ptv nay naa sirf adakaar die balkay Humain khubsurat awaazain bhe di jinko suntay he har insan jhoom utha to koi kahin khoo jata jinki meethas say bhari awaz nay dusray mulk bhe apna jado chalaya jismain baray naam Nazia Hassan Nushat Fateh Ali Khan Rishma shamil hain. Atif Aslam Ali zafar shahzad Roy Aur Junaid Jamshed Jawwad bhe us sehnaray durr ka hisa rehay hain jab Ptv kay baad degar channels nay Jaga banai aur loug CDs khared kar Shouq sy Inko suna kartay thay. Wahin Umer shareef Ka maqbool tareen stage show tha jsmain comedy kay sath sath un cheezon ko mozu banaya jata tha kay jinki us wqt kay logo ko zarorat thi. Alfaz ka chunao is tarah kia jata kay tanqeed ki tanqeed hojati aur Comedy ki comedy. Par in sab ki jaga naye dur kay naye andaz say banay tv shows nay layli Jismain kahin channels say kahin qism kay dramay , singers kay lie Signing shows , aur stage show ki jaga comedy shows shuru krdie. Par un main wo baat kahin mehsos nh hoti jo us wqt k dur main thi. Ab social media apna talent dikhnay ka asan zariyae to banta ja raha hai pr kahin na kahin insan k ander majod creativity ko khtm karta chala jaraha hai jo ab digital art main tabdeel hogae hai. Kahin ghanto ka saboq amoz aur hans hans kr lot pot kardyny walay show ab social media pr chand minutes ki video main badal to gaye hai par ab family k sth ek mahol bana kr tv dekhnay walay wo kamra ab kahin dikhai nh dayta ab aisay comedy dikhai dytay hain jin main behudgi ko comedy bana kr yah kuch puranay chutkulay suna kr unhe comedy kaha janay laga hai.
Jab insan bacha hota hai to yah wohe waqt hota hai k wo ander majod Apni salahiyat ko nikalta hai. 90'.s ka woh dur jab bachay parks main ja kr apny doston kay sath khela koda karty thay. Pakram pakarai chocolate chocolate pel doojh kanchay chocho aur bht say aisay khel jis sy jismani warzish aur thaakan dur hoti thi. Us dur main is tarh kay khilonay hotay thay kay jis say wo kuch seekhtay aur smjhtay thay par ab kay dur main unhain sirf mobile chaye hota hai. Maa baap bachy ko choti umer say he hath main mobile pakar daytay hain usko us par cartoon games ka itna shouqeen bana daytay hain kay jab ao aadi ban jai to usko uski adat churanay ki koshish kartay hain lakin jab wo kamiyab nh ho patay to wo iska zimdar bachon ko theratay hain. Wo dur jab chutiyan atay he maabaap nonihaal laa kar daytay jis sy bacha parh kr choti choti kahanio sy sabaq hasil karta woh ab khatam hochuka. Jis say uski angraizi aur urdu behtar hoti par aj kal k dur main bacha mobile main din bhar apny doston ko chatting k sth chatting karta dikhai dayta hai jis say kuch bhe hasil honay k bajai waqt ka ziya hota hai.

90's Media :
us dour aur aj kay dour kay media(electronic) ko agr hum dekhain to dono main waziye farq dekhai dayta hai. tv par atay advertisment main jahan tabdali ai wahin news channels main khabarain parhtay anchors ka bhe andaz , tareeqa aur libas badla. PTV ka 9 bjay ka ahim khabarnama jiska intizar loug bht besbari say kartay thay ab har ghantay baad humain news channels main dekhai dayta hai. naa sirf khabarnaama balkay har choti si choti khabar humain breaking news banti dekahi dayti hai. chahay woh print media ho ya phir electronic media dono main hi ads ziada dikhai daytya hain... ab ads main bhe itni tabdeeli ai hai kay un main apny products ko bechany k liye hero herion ka sahara lay kr unhe behudgi ka rang dia jata hai. chahay wo kisi mobile company ka ad ho ya phir tooth paste ka.. jab kay pehaly k dur main aisa kuch bhe nahi tha,, anchor sar par dopatta ourh kr khabrain parhti thin par ab bina dopttay ki anchors ki demand hogae hai.. jintni ziada behaiyi utni he ziada rating..anchors ki us wqt baqaida training ki jati thi kay kis tarah kharabian parhni hai... kis tarah ka dheema lehjra rakhna hai pr ab to sirf "hum apko sabsy pehaly khabar day rahy hai" cheekhti hui ziada aur khabar kam dekhai dayti hai..... ab apko khubsurat aur bold hona lazmi hai... agrr ap khubsurat hai to apki job pakki.. agr ap talented hain apkay pas knowledge par ap ap khubsurat nhe, apk apna doppta sar say utar nah sakhti aur kaway ki tarah kai kai nhe karskti to sorry janab apk ek news anchor banay k laiq nhe..!!!

Cartoons
90's ka wo dur jis main cartoons main bihayai majood nh thi. Chahy bacha ho ya bara sab he shouq sy dekhtay thay tom and jerry us wqt ka maqbool tareen cartoon tha. Bob the bulider powerpuff girls scooby do dragon tales yah wo tamam cartoons thay jinhonay 90's ko naa sirf khusburat banaya balkay unhe yaadgar bhe bana dia. Ab k dur kay cartoons agr hum utha kr dekhain to usmain baqaidi sy behudgi nazar ati hain jin sy humri nasalon par galat asar par raha hai.
90;s ka wo dur kabhi bhulaya nh ja sakta. Ub har insan khush ho kr bhe khush dekhai nh dayta. Restaurants nay khadano main dawaton ki jaga cheen li. Wo mohabbt aur pyar sy banaya janay wala khana ab loug restaurant main khilana pasand kartay hain. Get together gharon main karnay k bajai kisi mall main karna pasand kartay hain apnon sy milnay julnay k bajai text/call krna pasand kartay hain. Eid yah koi bhe tehwaar par apny rishtaydaron k ghr janay k bajai hum naye kapray pehan kar ghar main sona pasand kartay hain. Agr hum ghoor karn to hum sbki zindgai main bht badalo aya hai mohabbat khatm to nh par duriyan zarore agae hain. Humain apno ka haal tk pata nh hota. Hum gheron sy miltay hain un main apnay talash kartay hain par apno ki taraf nazar utha kr dekhtay tak nahi. Kia hum agay bharnay ki dur main khud ko peechay chor baithay hain? Yah kahin khoo baithay hain

90's Media :
us dour aur aj kay dour kay media(electronic) ko agr hum dekhain to dono main waziye farq dekhai dayta hai. tv par atay advertisment main jahan tabdali ai wahin news channels main khabarain parhtay anchors ka bhe andaz , tareeqa aur libas badla. PTV ka 9 bjay ka ahim khabarnama jiska intizar loug bht besbari say kartay thay ab har ghantay baad humain news channels main dekhai dayta hai. naa sirf khabarnaama balkay har choti si choti khabar humain breaking news banti dekahi dayti hai. chahay woh print media ho ya phir electronic media dono main hi ads ziada dikhai daytya hain... ab ads main bhe itni tabdeeli ai hai kay un main apny products ko bechany k liye hero herion ka sahara lay kr unhe behudgi ka rang dia jata hai. chahay wo kisi mobile company ka ad ho ya phir tooth paste ka.. jab kay pehaly k dur main aisa kuch bhe nahi tha,, anchor sar par dopatta ourh kr khabrain parhti thin par ab bina dopttay ki anchors ki demand hogae hai.. jintni ziada behaiyi utni he ziada rating..anchors ki us wqt baqaida training ki jati thi kay kis tarah kharabian parhni hai... kis tarah ka dheema lehjra rakhna hai pr ab to sirf "hum apko sabsy pehaly khabar day rahy hai" cheekhti hui ziada aur khabar kam dekhai dayti hai..... ab apko khubsurat aur bold hona lazmi hai... agrr ap khubsurat hai to apki job pakki.. agr ap talented hain apkay pas knowledge par ap ap khubsurat nhe, apk apna doppta sar say utar nah sakhti aur kaway ki tarah kai kai nhe karskti to sorry janab apk ek news anchor banay k laiq nhe..!!!
Subscribe to:
Posts (Atom)