Tuesday, 13 December 2016
13 dec.
Jab ap likhtay hain to kahin dost apk khelaf hujaitay hain. Kahin apki raai sy iqtifaaq krny lag jatay hain kahin ko apk alfaz pasand nhe atay. Kahin apko apl lafzon sy apki shahkhisyat ko tatola shuru hujatay hain. Yah janay baghair k ap jo likh rahay hain woh apka qalam to likh raha hai. Ap apni souch ka izhar to karrhy hain. Lakin halat aur mahool k mutabiq likh rhy hain. Haqiqat par likh rahay hain. Par kahin loug apki raai sy itifaaq nhe kartay aur apk khelaf ho kr ap k lie dil main nafrat paida kr laytay hain..Yah janay bina k "ek likhari ka kaam likhna hai..agr wo khamosh hujai aur apk nazariye ko sahe smjhtay hui haqiqat sy mau chura kr likhna shuru kardain toh apny Qalam k sth sth apny Mashray k logo k sth nainsafi karega.! Humain sbk nazariye ka ahtarm kartay huway apna nazariya batana chaye. Badtamizi aur jazbat , gussay . ko ek taraf rakh k baat karna chaye. Apny mazhab firqay maslaak ko dekh kr dusro k baray main galat/bura souchay baghair apna nazariye pesh karna chaye. Ek likhari pr bht pressure hota hai logo ki raayi ka. Rishto ka. Wo agr sach likhay yah wo baat likhay jo usk apno ko bura lagay to wo kahin rishtay khoo dayta hai. Shayad is liye aksar likhari apni zaat main tanha hotay hain. ! Woh kisi ko bura lagay baghair haqiqat sachai sy likhnay ka paband hota hai. Jab loug usy nhe manay to usk kirdaar pr to kabhi usk aqeeday pr to kabi usk khaandaan pr to kabhi uski zaat pr ugli uthany lagtay hain. Is liye likhnay ka kaam aisa hai k ap kahin dushman hotay hain to kahin dost. ! Par uska rishta agr kisi k sth gehra aur sacha hota hai to wo usk alfaz hotay hain.😊
Sunday, 13 November 2016
90's- The Golden era
Jaisay jaisay duniya taizi sy tareeqi ki janib jati ja rahi hai waisy he insan ki zindagi main roz ba roz tabdili ati jarhi hai kehtay hain insan ko waqt kay sath badalna parta hai aur duniya k sath chalna parta hai warna wo peechay reh jata hai.. technology nay jis taizi sy insan ko apni taraf keencha aur jagra hai usy insan bahir ana bhe chahay to nahi aaskta. Chahay bacha ho nojawan ho ya burrha har insan iskay jaal main phansa nazar ata hai. Technology nay wahin kahin logo ki zindagi asan ki hai aur dur darz logon say rabta k lye asani paida ki hai wahin kahin apny ird gird majod logo ko dur aur tanha bana dia hai. Hum chaltay hain 80's 90's kay us khubsurat durr main jis sy kahin logo ki yaadain wabasta hain wo khubsurat durr jo ab phir kabhi lout kar nahi aiga.
Pakistani television
Ptv kay wo khubsurat dramay jinkay naam sun kar jee aisa machalta hai kay unhe ek bar phir dekhnay ko dil chahata hai. Behudgi say paak aur family kay sath baith kar dekh walay wo dramay thy jin main rishto ka lehaz ahtaram aur koi sabaq majod hota tha. Yah wo dur tha jismain wo chehray samnay ai jin main beintiha talent majod tha jo apni lagan aur musalsal mehnat kay baad legends kehalai. Chahay woh bacho ka pasandega ainak wala jin ho yah nojawanon buzurgo main behad muqbol drama Khuda ki basti , agaan taira ho. In Ptv kay dramaon main kaam karnay walay adakaro nay jo khubsrat dur Pakistan ko dia ab wo lout kar phir kabi nh asakta.
Ptv nay naa sirf adakaar die balkay Humain khubsurat awaazain bhe di jinko suntay he har insan jhoom utha to koi kahin khoo jata jinki meethas say bhari awaz nay dusray mulk bhe apna jado chalaya jismain baray naam Nazia Hassan Nushat Fateh Ali Khan Rishma shamil hain. Atif Aslam Ali zafar shahzad Roy Aur Junaid Jamshed Jawwad bhe us sehnaray durr ka hisa rehay hain jab Ptv kay baad degar channels nay Jaga banai aur loug CDs khared kar Shouq sy Inko suna kartay thay. Wahin Umer shareef Ka maqbool tareen stage show tha jsmain comedy kay sath sath un cheezon ko mozu banaya jata tha kay jinki us wqt kay logo ko zarorat thi. Alfaz ka chunao is tarah kia jata kay tanqeed ki tanqeed hojati aur Comedy ki comedy. Par in sab ki jaga naye dur kay naye andaz say banay tv shows nay layli Jismain kahin channels say kahin qism kay dramay , singers kay lie Signing shows , aur stage show ki jaga comedy shows shuru krdie. Par un main wo baat kahin mehsos nh hoti jo us wqt k dur main thi. Ab social media apna talent dikhnay ka asan zariyae to banta ja raha hai pr kahin na kahin insan k ander majod creativity ko khtm karta chala jaraha hai jo ab digital art main tabdeel hogae hai. Kahin ghanto ka saboq amoz aur hans hans kr lot pot kardyny walay show ab social media pr chand minutes ki video main badal to gaye hai par ab family k sth ek mahol bana kr tv dekhnay walay wo kamra ab kahin dikhai nh dayta ab aisay comedy dikhai dytay hain jin main behudgi ko comedy bana kr yah kuch puranay chutkulay suna kr unhe comedy kaha janay laga hai.
Jab insan bacha hota hai to yah wohe waqt hota hai k wo ander majod Apni salahiyat ko nikalta hai. 90'.s ka woh dur jab bachay parks main ja kr apny doston kay sath khela koda karty thay. Pakram pakarai chocolate chocolate pel doojh kanchay chocho aur bht say aisay khel jis sy jismani warzish aur thaakan dur hoti thi. Us dur main is tarh kay khilonay hotay thay kay jis say wo kuch seekhtay aur smjhtay thay par ab kay dur main unhain sirf mobile chaye hota hai. Maa baap bachy ko choti umer say he hath main mobile pakar daytay hain usko us par cartoon games ka itna shouqeen bana daytay hain kay jab ao aadi ban jai to usko uski adat churanay ki koshish kartay hain lakin jab wo kamiyab nh ho patay to wo iska zimdar bachon ko theratay hain. Wo dur jab chutiyan atay he maabaap nonihaal laa kar daytay jis sy bacha parh kr choti choti kahanio sy sabaq hasil karta woh ab khatam hochuka. Jis say uski angraizi aur urdu behtar hoti par aj kal k dur main bacha mobile main din bhar apny doston ko chatting k sth chatting karta dikhai dayta hai jis say kuch bhe hasil honay k bajai waqt ka ziya hota hai.

90's Media :
us dour aur aj kay dour kay media(electronic) ko agr hum dekhain to dono main waziye farq dekhai dayta hai. tv par atay advertisment main jahan tabdali ai wahin news channels main khabarain parhtay anchors ka bhe andaz , tareeqa aur libas badla. PTV ka 9 bjay ka ahim khabarnama jiska intizar loug bht besbari say kartay thay ab har ghantay baad humain news channels main dekhai dayta hai. naa sirf khabarnaama balkay har choti si choti khabar humain breaking news banti dekahi dayti hai. chahay woh print media ho ya phir electronic media dono main hi ads ziada dikhai daytya hain... ab ads main bhe itni tabdeeli ai hai kay un main apny products ko bechany k liye hero herion ka sahara lay kr unhe behudgi ka rang dia jata hai. chahay wo kisi mobile company ka ad ho ya phir tooth paste ka.. jab kay pehaly k dur main aisa kuch bhe nahi tha,, anchor sar par dopatta ourh kr khabrain parhti thin par ab bina dopttay ki anchors ki demand hogae hai.. jintni ziada behaiyi utni he ziada rating..anchors ki us wqt baqaida training ki jati thi kay kis tarah kharabian parhni hai... kis tarah ka dheema lehjra rakhna hai pr ab to sirf "hum apko sabsy pehaly khabar day rahy hai" cheekhti hui ziada aur khabar kam dekhai dayti hai..... ab apko khubsurat aur bold hona lazmi hai... agrr ap khubsurat hai to apki job pakki.. agr ap talented hain apkay pas knowledge par ap ap khubsurat nhe, apk apna doppta sar say utar nah sakhti aur kaway ki tarah kai kai nhe karskti to sorry janab apk ek news anchor banay k laiq nhe..!!!
Pakistani television
Ptv kay wo khubsurat dramay jinkay naam sun kar jee aisa machalta hai kay unhe ek bar phir dekhnay ko dil chahata hai. Behudgi say paak aur family kay sath baith kar dekh walay wo dramay thy jin main rishto ka lehaz ahtaram aur koi sabaq majod hota tha. Yah wo dur tha jismain wo chehray samnay ai jin main beintiha talent majod tha jo apni lagan aur musalsal mehnat kay baad legends kehalai. Chahay woh bacho ka pasandega ainak wala jin ho yah nojawanon buzurgo main behad muqbol drama Khuda ki basti , agaan taira ho. In Ptv kay dramaon main kaam karnay walay adakaro nay jo khubsrat dur Pakistan ko dia ab wo lout kar phir kabi nh asakta.
Ptv nay naa sirf adakaar die balkay Humain khubsurat awaazain bhe di jinko suntay he har insan jhoom utha to koi kahin khoo jata jinki meethas say bhari awaz nay dusray mulk bhe apna jado chalaya jismain baray naam Nazia Hassan Nushat Fateh Ali Khan Rishma shamil hain. Atif Aslam Ali zafar shahzad Roy Aur Junaid Jamshed Jawwad bhe us sehnaray durr ka hisa rehay hain jab Ptv kay baad degar channels nay Jaga banai aur loug CDs khared kar Shouq sy Inko suna kartay thay. Wahin Umer shareef Ka maqbool tareen stage show tha jsmain comedy kay sath sath un cheezon ko mozu banaya jata tha kay jinki us wqt kay logo ko zarorat thi. Alfaz ka chunao is tarah kia jata kay tanqeed ki tanqeed hojati aur Comedy ki comedy. Par in sab ki jaga naye dur kay naye andaz say banay tv shows nay layli Jismain kahin channels say kahin qism kay dramay , singers kay lie Signing shows , aur stage show ki jaga comedy shows shuru krdie. Par un main wo baat kahin mehsos nh hoti jo us wqt k dur main thi. Ab social media apna talent dikhnay ka asan zariyae to banta ja raha hai pr kahin na kahin insan k ander majod creativity ko khtm karta chala jaraha hai jo ab digital art main tabdeel hogae hai. Kahin ghanto ka saboq amoz aur hans hans kr lot pot kardyny walay show ab social media pr chand minutes ki video main badal to gaye hai par ab family k sth ek mahol bana kr tv dekhnay walay wo kamra ab kahin dikhai nh dayta ab aisay comedy dikhai dytay hain jin main behudgi ko comedy bana kr yah kuch puranay chutkulay suna kr unhe comedy kaha janay laga hai.
Jab insan bacha hota hai to yah wohe waqt hota hai k wo ander majod Apni salahiyat ko nikalta hai. 90'.s ka woh dur jab bachay parks main ja kr apny doston kay sath khela koda karty thay. Pakram pakarai chocolate chocolate pel doojh kanchay chocho aur bht say aisay khel jis sy jismani warzish aur thaakan dur hoti thi. Us dur main is tarh kay khilonay hotay thay kay jis say wo kuch seekhtay aur smjhtay thay par ab kay dur main unhain sirf mobile chaye hota hai. Maa baap bachy ko choti umer say he hath main mobile pakar daytay hain usko us par cartoon games ka itna shouqeen bana daytay hain kay jab ao aadi ban jai to usko uski adat churanay ki koshish kartay hain lakin jab wo kamiyab nh ho patay to wo iska zimdar bachon ko theratay hain. Wo dur jab chutiyan atay he maabaap nonihaal laa kar daytay jis sy bacha parh kr choti choti kahanio sy sabaq hasil karta woh ab khatam hochuka. Jis say uski angraizi aur urdu behtar hoti par aj kal k dur main bacha mobile main din bhar apny doston ko chatting k sth chatting karta dikhai dayta hai jis say kuch bhe hasil honay k bajai waqt ka ziya hota hai.
Cartoons
90's ka wo dur jis main cartoons main bihayai majood nh thi. Chahy bacha ho ya bara sab he shouq sy dekhtay thay tom and jerry us wqt ka maqbool tareen cartoon tha. Bob the bulider powerpuff girls scooby do dragon tales yah wo tamam cartoons thay jinhonay 90's ko naa sirf khusburat banaya balkay unhe yaadgar bhe bana dia. Ab k dur kay cartoons agr hum utha kr dekhain to usmain baqaidi sy behudgi nazar ati hain jin sy humri nasalon par galat asar par raha hai.
90;s ka wo dur kabhi bhulaya nh ja sakta. Ub har insan khush ho kr bhe khush dekhai nh dayta. Restaurants nay khadano main dawaton ki jaga cheen li. Wo mohabbt aur pyar sy banaya janay wala khana ab loug restaurant main khilana pasand kartay hain. Get together gharon main karnay k bajai kisi mall main karna pasand kartay hain apnon sy milnay julnay k bajai text/call krna pasand kartay hain. Eid yah koi bhe tehwaar par apny rishtaydaron k ghr janay k bajai hum naye kapray pehan kar ghar main sona pasand kartay hain. Agr hum ghoor karn to hum sbki zindgai main bht badalo aya hai mohabbat khatm to nh par duriyan zarore agae hain. Humain apno ka haal tk pata nh hota. Hum gheron sy miltay hain un main apnay talash kartay hain par apno ki taraf nazar utha kr dekhtay tak nahi. Kia hum agay bharnay ki dur main khud ko peechay chor baithay hain? Yah kahin khoo baithay hain

90's Media :
us dour aur aj kay dour kay media(electronic) ko agr hum dekhain to dono main waziye farq dekhai dayta hai. tv par atay advertisment main jahan tabdali ai wahin news channels main khabarain parhtay anchors ka bhe andaz , tareeqa aur libas badla. PTV ka 9 bjay ka ahim khabarnama jiska intizar loug bht besbari say kartay thay ab har ghantay baad humain news channels main dekhai dayta hai. naa sirf khabarnaama balkay har choti si choti khabar humain breaking news banti dekahi dayti hai. chahay woh print media ho ya phir electronic media dono main hi ads ziada dikhai daytya hain... ab ads main bhe itni tabdeeli ai hai kay un main apny products ko bechany k liye hero herion ka sahara lay kr unhe behudgi ka rang dia jata hai. chahay wo kisi mobile company ka ad ho ya phir tooth paste ka.. jab kay pehaly k dur main aisa kuch bhe nahi tha,, anchor sar par dopatta ourh kr khabrain parhti thin par ab bina dopttay ki anchors ki demand hogae hai.. jintni ziada behaiyi utni he ziada rating..anchors ki us wqt baqaida training ki jati thi kay kis tarah kharabian parhni hai... kis tarah ka dheema lehjra rakhna hai pr ab to sirf "hum apko sabsy pehaly khabar day rahy hai" cheekhti hui ziada aur khabar kam dekhai dayti hai..... ab apko khubsurat aur bold hona lazmi hai... agrr ap khubsurat hai to apki job pakki.. agr ap talented hain apkay pas knowledge par ap ap khubsurat nhe, apk apna doppta sar say utar nah sakhti aur kaway ki tarah kai kai nhe karskti to sorry janab apk ek news anchor banay k laiq nhe..!!!
Sunday, 30 October 2016
Dosti
Dosti wo khubsurat rishta hai jisko nibhanay k lie sachay dil k jabzaat ki zarorat hoti hai dimagh ki nahi aur dost wo hota hai jo apni dosti nibhanay k sath sath apny dost ki majboriyon uski adat uski fitrat ko achi tarah smjhta ho ek zamana tha jab asal doston ki pehchan aram sy hujaiya karti thi koun apsay milnay arha hai koun ap ki kheriyat pouch raha hai koun apkay buray waqt main sath nibha raha hai koun apkay lie dusro sy larae kar raha hai usmain apko apni mohabbt bar bar batanay jatanayy ki zarorat nhe parti thi apko bar bar ehsas dilanay ki zarorat nhe hoti thi k ap usk lie kia ahmyt rakhtay hain apko bar bar usy tohfa dainay ki zarorat nh parti thi kay ap usy kitni mohabbat kartay hain apko usy ghr main bula kr dawat daynay ki zarorat nh hoti thi wo khud ajaya kartay thay wohe ginay chunay dost jinkay ghr walon say apk ghar walay bhe waqif hotay thay wohe sachay dost kehlatay thay.. jaisay jaisay waqt badala rasm o rewaj main bhe tabdeeli ai..har rishtay main tabdeeli mehsos honay lagi ab dost hazaron hain par koi ek aisa nh jisay apna kaha jai ab jigri dost bananay ka dur gaya kyun k ab koi aisa milta he nh.. shayad iski waja dekhawa ziada aur mohabbat kam hogae hai.. agr ap kisi ko mohabbat naa dekhai to usy lagta hai kay ap unsay mohabbat nh kartay unhe bar bar is bat ka yaqeen dilana k apki dosti mohabbat kitni sachi hai zarori hogaya hai kyun k ab social activities sirf social media tak mehdod ho kr reh gai hain agr ap sachay dost hain to apko is baat ko sabit krnay k lie apko social media pr is baat ko dekhana lazmi hai. Social media pr be-intiah mohabbat lutanay walay hazar dost asal zindagi main haal tak naa pouchnay walay hotay hain.. hum nay jigri dost banany k bajai hazaro ko chun lia hai hum kisi ek say rabta rakhnay k bajai sbsy rabta main rehna chahatay hain .achi baat hai sabsy rabta rakhna par har koi apka jigri dost neh ban sakta isi waja say aksar loug humain socialization karty to dekhai daytay hain par asal main wo tanha hotay hain.. apki social circle main aksar dost aisay hotay hain jo apki zindagi mai kia horha hai kyun horha hai kaisay horha hai to janay ki justaju rakhtay hain pr apsay baat kar k apka haal pouchnay tak ki zehmat nhe kartay.. humri naye nasal ko is baat ki smjhnay souchnay ki bht zarorat hai k akhair dost kehtay
Kisay hain aur dosti nibhai kaisay jati hai ? Ek zara si thokar par dosti torny k bajai ek dusray say maffi aur jorna kaisay jata hai apk asaal dost koun hotay hain unki kie pehchan hoti hai?
-sacha dost kbhi apki kamiyabi sy jalayga nahe balkay apki kamiyabi ki waja hoga
-sacha dost apki ankhon main anso nhe dekh sakta wo sab say lar jata hai par apkay sath wo roya zarore hoga
-sacha dost apki zarorat apki baat ko bina kehay smjh jaiga wo apko bina banai apka is tarah khayal rakhyga k apko mehsos nhe hog
Insan har stage pr naye naye dost banata hai jab bachpan ki baat ati hai to sabsy pehlay uskay dost uski school life main bantay hain jinhonay usk sth uska bachpan guzara hota hai jo uski har ek adat fitrat raawayi say waqif hotay hain bachpan main apna lunch box bas bachay usi kay sth share krna pasand kartay hain jinhe wo apna sachay dil sy dost mantay hain kyun k wo us waqt na-smjh par dil k sachay hotay hain school ki dosti 13 saal ki dosti hoti hai intihai mazbot jab school ko alvida kertay hai to ata hai college kay do saal shuru hotay hain jin main koi khas dost nh bantay college k baad university life shuru hoti hain ismain 4 saal sath guzarnay walay dost kabhi apki life line ban jatay to kbhi ap kisi ek dost main koi jigri dost talash krlaytay hain to kabhi apko koi aisa nhe milta jisko ap apna dost keh sakay.. kyun k is age main akar kafi had tak insan mature hujata hai.par yah 4 saal apko bht kuch sikha zarore daytay hain apko dost achay milay to khubusrat aur yadgaar bana daytay hain..
Tohfay dainay say mohabbat zarore bharti hai dilo main par mohabbat agr sirf tohfa dainay sy sabit hoti hai to yah dosti k rishtay main mohabbat nahi ek samjhota hai jisko loug mehagay say mehaga tohfa daykar kartay hain..
Pehlay kay zamana main haath say likhay chand alfaz bhe bht dil say aur ahmiyat rakhtay thay par ab alfaz ki ab koi qadar naa rahi kyun k wo har ek dusray dost k lie aada horhay hotay hain.. insan apnay jazbat ka izhar karna bhulata jaraha hai wo zubani to dost kehta hai par uska amal wo nhe hota. Iskay elwa insan kay kahin aisay dost hotay hain jo uski zindagi main atay hain van main to koi tuition/ coachings to koi gali mehalon main bantay hain.. kabhi kabhi insan in doston main apna sacha dost bhe talash karlyta hai..woh bhe kia khubsurat din thay jab gali mehalon parks main dost atay aur mukhtalif qism kay khel kehla kartay.. sath hansi khushi cycle chalaya kartay to kabi kabi chutiyon main raat raat bhar racket khela krtay aur larae kartay to samnay kartay kisi k lie dil main nafrat nh rakhtay...par ab un kheelon ka dur chala gaya ab sab kay hath mai mobile aur dosti ek like chand comments aur pictures tak mehdod hogae shayad ab anay wali nasalain 1990's ka wo maza ab nh lay saktin.
Dosti aur Judai
Jab sachi dosti ka koi rishta tota hai to insan ko ander sy tor kr khokla bana dayta hai chahy usmain qasor kisi aur ka ho par insan sari umer khud ko khusta rehta hai woh us dost ko wapis bhe pana chahay to aksar woh paa to layta hai par wo rishta phr kabhi pehlay jaisa nhe rehta jo hua karta tha. Dil main ek bar halki si khalish par jai to phr wo sari zindagi rehti hai insan bas un khubsurat yaado k zariyae jee sakta hai par un yaadon ko phr say nahe jee sakta.
Imam Ali a.s ka Qoul hai "Bhai sonay ki tarah hota hai agr usmain darar par jai usy pigla kr wapis waisa banaya ja sakta hai par dost heeray ki tarah hota hai ek bar daraar par jai to wapis waisa nhe banta."
Yah baat haqiqat hai par choti choti baaton par insan ka kisi rishtay ko tor daina aur maffi naa mangna bhe galat hai. Insan agr apni aana kay sath chalna chahat hai to wo rishto ko sath lay kr kabhi nh chal sakta usmain jhukao lazmi hai usmain ek dusray ki galation par maaf karna aur maffi manga lazmi hai.
""Jhukta wohe hai jismain Jaan ho Akarna to murdon ki pehchan hai"
Imam Ali a.s
insan ko kabhi kisi rishtay ko khud sy azmana nh chahye kyun k aksar loug azmatay azmatay usy khoo daytay hain waqt khud he rishton ko azmata hai par usi waqt insan ko apnay aur parae ki asal pehchan karwa dayta hai.. mery nazariya main insan jaisay jaisay social networks par active hota ja raha hai wo asal rishto ki qadar ahmyt aur pehchan khoota chala jaraha hai mohabbat khushiyan gham bantay say bharti hain ek dusray ka dard smjhnay unsay baat kr k usay smjhnay say bharti hain.. naa kay un tohfo say jo qeemat main to ziada ho par un main mohabbat majood naa ho.. !
"-hoskta hai tmhra dost tmsay jhut bolay jo uski majbori ho par tm us wafa karnay walay dost ko khoo baitho."
IMAM Ali
"Aksar wafa karnay walay dost ghareeb hotay hain" Imam Ali
Kabhi kabhi itna majbor hota hai kay wo nachahatay hui bhe apny doston say jhut keh dayta hai kyun kay usky peechay uski koi waja ya majbori hoti hai par jab uskinsachai samnay ati hai to loug usko jhoota keh kr chorr dayta hai bina baat janay uski majbori janay..wo wafa karna chahata hai par wafa nah kar pata..aur kabhi kabhi humra dost kisi majbori ki waja say apni izzat e nafs ko rakhtay hui khamosh rehta hai kuch nhe kehta.. humnay aksar dekha hai kay aj kal kay door main dost get together kartay hain par kuch loug nh aa patay unki lahin majbori hoti hain.. kahin bar unkay maali halaat behtar nhe hotay par hum unki majbori bina janay unsay naraz hojatay hain.. yah janay bina k unkay ghar main kia maslay chal rahay hain wo kis dur dard sy guzar rahay hain hum unsay apna rishta tor dytay hain.
- Agr tmhri kamzori dosti hai to tm duniya k sabsy taqqatwar insan ho
Imam Ali a.s
Insan ko kbhi dosti is qadar tor dayti hai k waqt kay sth usy mazbot insan bana dayti hai to kabhi sacha dost ek kamzor insan k peechay us mazbot reedhr ki hadi ki tarah hota hai jo uskay kharay rehnay ki waja hota hai. Jiski usy br br zarorat hoti hai jo usy hosla dayta hai jo uski himat ki wja hota hain aisay dost bht kam aur qismat walo ko miltay hain agr tmhe aisa koi milay to ussy thaam laina aur kabhi khud sy alag naa honay daina...!
Friday, 28 October 2016
Likhari (writer)
Kehtay hain har insan ka apna apna likhnay aur parhnay ka shouq hota hai jo uska taste uski shakhsiyat uski baaton say zahir hota hai
Har insan ko alag alag khanay pakanay alag alag movie dekhna alag alag jewelry alag alag kapray wagera laynay ka shouq hota hai jo woh apnay mazaj k muqabiq pasand karta hai bilkul isi tarah har ek likhari ki bhe koi khasiyat ya pasand hoti hai jis par wo naa sirf acha balkay uska maza lay kr likhta hai maazi main bht say likhari guzaray hain jo apni koi naa koi khasiyat ki waja say mahsor thay unkay likhnay ka tareeqa unkay alfaz unka lehja unka andaz jis ki bina par woh mashray main apna naam aur jaga bana sakay koi shaiyar ban gaya koi afsana nigar ban gaya kisi nay novel nigari ki. sab main koi na koi khasosiyat majod thi jiski waja say wo naam kama paai par unhonay apni us khusosiyat ko duniya kay samnay dekhaya.. chupaya nhe koi bhe likhari us waqt tak ek kamiyab likhari nahi ban sakta jab tak woh likhtay waqt hazar baar souchay kay uski tahreer likhnay pr duniya us k baray main kia souchay gi uskay kirdaar par ugli uthai gi likhari to mashray ka woh doctor hota hai jo sirf apny alfaz sy insan ki rooh tak to theek kardaynay ka hunur janta hai likhari koi aam insan nhe hota agr wo apni ahmiyat naa jaan pae to sari zindagi duniya bhe usko koi ahmyt nhe dayti usko khud main chupi khubi ko nikal kr khud ko manwana parta hai apny ander chupay darr ko bahar nikal phainka parta hai aisay bht say loug hain jo bht acha likhtay hain par duniya kay darr sy usko manzar e aam par nhe laatay wo dartay hain k duniya unk baray main kia souchay gi kahin unka mazaq naa bana dia jai kahin un par shak kar k uski zaat par ugli naa uthai jai..maazi main bht sy likhari guzaray jinhonay bht si kitabain likhin aur mashoor bhe hui par un main say chand ka zikar karti chalogi sab say pehaly us adeeb ka zikar jin par bht tanqeeed hui muqadamy chalay unki zindagi main unki qadar naa ki gaye par unkay martay he unki zindagi par film banai gae kyun kay insan k janay k baad he uski qadar ki jati hai
Saadat Hassan Manto
Yah woh Manto hai jisnay 11 may 1913 ko Hindustan main ankh khuli manto apni afsana nigari ki waja say mashor thay unki afsana nigari main taqseem e Hind say lay kar mashray main paae janay wali un tamam buriyon par tanqeed milti hai Jis tanqeed par unhe tanqeed ka samna karna para
"Humra mashra aurat ko koohta chalany ki ejazat to dayta hai par tanga chalanay ki nhe."
Manto ki agr main is baat main ek baat add karti chalo to shayad aj kal k dur main ya sach hoga ek mashra aurat ko khoota chalanay ki ejazat to dayta hai par qalam chalany ki nahi
Yahan qalam sy murad taleem nahi balkay yahan ek Likhari ki baat horhi hai kitni he Female writers hain jo sirf is darr say samnay nhe ati k unk baray main unk kirdaar k baray main loug kia kehaygay kyun k mard to kuch bhe likhay wo ek bar tanqeed seh layta hai yah phir usko yah keh kr taal dia jata hai wo to mard hai uska to peesha hai par aurat ek aurat par das qism kay ilzamat laga kr uski kirdar kashi ki jati hai wo bas is dar sy qalam utha kr nh likhti kay kahin uski likhai ko duniya us pr guzari abbiti naa smjh lain aur apni souch sy uski souch ko us par guzri kahani smjh kar usko sawalat k khatarey main laa kr khara kar dai usy uskay kirdar ki daleelain mangay aur jab usk pas apni saafai main pesh karnay k koi sabot naa hu to usko saza day dain afsos sad afsos aksar ek aurt ko saza dayny wli ek aurat he hoti hai
"Main is mashray ki haqiqat likhta hon main uskay kia kapray utaro jis nay khud he kapray naa pehanay ho"
Manto kay in mashor lafzon say zahir hota hai k woh mashray ki haqiqat apny qalam sy kaghaz pr utarta thay jis par unhe bht ziada tanqeed ka samna bhe karna para main manto ki is baat say puri tarah sehmat hon jab insan ko uska aaina dekhaya jai to wo khud main chupi burai ko dekh kr tasleem karnay k bajai us par us insan ki kirdar kashi ya tanqeed ka nishana banata hai jis nay usko aaina dekhaya Manto nay mashray ko uski haqiqat dekhai
Par ankhain rakhnay walon nay usko fahashi keh kr apni ankhain band karlin lakin unhe ankhon nay manto ki zaat ko dekha to naa sirf unhe fahashi phelanay wala kaha gaya balkay tanqeed bhe ki. Jab ek mashra kisi likhari par pabandi laga kr usy haqiqat likhnay say rukay to phr us mashray ka yahe haal hota hai kay naa koi usmain sudhaar ata hai balkay woh kharabi ki janib bharta he chala jata hai.
Shaiyari
Kehtay hain shairyi insan k jazbat kay izhar ka zariya hai jo woh kisi gham main kehta hai bohat say logo ko shaiyri likhnay ka shouq hota hai aur buht so ko shaiyri parhnay ka kehtay hain insan jo baat seedhay mauh nhe keh pata wo shaiyri k zariye keh dyta hai par us main chupi baat ko smjhna us gehrai ko smjhna hr kisi ki bas ki baat nahi hoti shaiyri bhe ek hunur hai jo insan kisi bhe mozu par karskta hai aksar loug bht achay ashaar likhtay hain par unhe manzar e aam par laana nhe chahaty k kahin unhe laila/ majno ka laqab naa mil jai maazi main bht say shair aisay guzaray jinhonay shaiyri ki bht si kitaabain likhin..Galib meer dard meer taqi parveen shakir mohsin naqvi yah wo mashor shaiyr hain jinkay alfaz main gham o dard ki lehar paai jati hai isk elwa awam main josh o walwala paida karnay walay logo main apny watan k lie jazba jagany walay b guzray hain jin main baray naam Habib jalib faiz ahmed faiz shamil hain.Alama Iqbal ek Philosopher honay k sath sath ek Shaiyr bhe thay. Wohe baat insan Likhta to bht kuch hai par wo apni likhai main chupi usk andaz aur usk alfaz k chunao say ziada naam kamata hai..uska apna ek andaz souch hoti hai jo logo ko mutasir karti hai ek likhari mashray ki Maa hota hai jo uski apnay alfaz say tarbiyat karta hai naa uski tarbiyat main ahim kirdaar ada karta hai balkay uski khamiyaon aur khobiyon main farq smjha kr usy apni tahreeron say sudharnay ki koshish karta hai ek acha likhari wohe hai jis say iskay qalam say aisay alfaz nikalain jo mashray k afraad ki isliha ka bais banay.
Khawateen novel writers
Fatima suraiya bajiya Farhat ishtiaq umera ahmed nimra ahmed maazi main bht si khaawateen writers aisi guzari hain jinhonay apni zindagi Likhai par sarf kardi ek likhari apny ird gird kay mahool aur jis dur main wo raha hai jin say guzra hai aur uski ankhon ny dekha hai aksar wohe uski tehreeron ka hissa banti hain har likhari apny durr kay hisab say kin cheezo ko likhnay ki zarorat hai unhe mehsos kar k tehreeron main likhta hai
Agr hum is dur ki baat kare apni is nasal (generation ) ki baat karain to js main mehromi aur kam-umeri mai bacho ka relationships(mehram aur namehram main farq) main ana hai jiski zarorat ko smjhtay huway humain is hawaly sy Nimra ahmed kay novels main mauzu dekhai daytay hain jsmain unkay bht mashorr novel jannat kay pattay hai jismain unhonay aurat k parday ko jannat k patto sy tashbee di hai unkay novels main Qurani Ayat aur uski wazahat aur suspense majood hota hai.isi tarah umera ahmed kay novels main aurat rishton ki ahmyt aur ishq e haqiq ka rang dekhai dayta hai Umera ahmed kay bht say novels ko drama ki shakal di gae jismain Lahasil Zindagi gulzar hai nay naazreen k dil jeetay balkay sarhad par bharat main bhe khub daad samiti farhat istiaq ko Romani Novel nigar kaha jata hai unkay mashoor novel Humsafar diya e dil jis par drama banaya gayae unhonay awam main kafi maqboliyat pae abhi haal main he unka ek drama Udari jismain child abuse mauzu tha usay naazreen say bht paziraai mili. Ek acha likhari wohe hai jo Mashray main honay wali kharabiyon ko mehsos kar k apny qalam say usy kaghaz pr utaray aur is tarah say likhay kay parhnay wala usko parhtay waqt is tarah meshso karen k usy us par guzari kahani lagay ya uski ankhon dekha manzar lagay..
Jab bhe koi likhari qalam uthata hai to us par ek zimadari aaiyad hoti hai kay woh us ko bakhubi nibhatay hui waqt ki zarorat ko maad e nazar rakh kr apni tehreer main woh baaatain likhay jis say uskay Likhari honay ka haq ada ho sakay agr wo haqiqat ko likhna chahta hai pr us par kisi qism ka dabao majood hai to is baat ka
Usy apny ander sy duniya ka dar nikal phainkna paray ga loug kiya kehaygay is souch ko souchna chorna parega warna kamiyabi kabhi hasil nhe hoskti.. bht say loug ap par tanqeed karen gay par ap kia hai wo ap jantay hain.. bht sy loug sirf isi waja say nhe likhtay k unhe logo ki souch ki parwah hoti hai pr wo yah baat bhul jata hain loug wohe souchtay hain jaisi unki souch hoti hai par wohe mantay hain wohe dekhtay hain jo ap unhe dekhatay hain .humaray nojawan likhariyon ko is baat ko smjhnay ki khas zarorat hai k zindagi main kamiyab honay k lie tanqeed ka bar bar samna karna parta hai loug ap par pattar barasai gay par ap nay un pattaro ka jawab eeth sy nhe daina ap nay apna jawab apny qalam apni salahiyat say daina hai.. ab ya ap hai kay ap Duniya ki baaton ko souch kr peechay rehna pasand karegay ya phir apni manzil par pouhachna....?
Saturday, 22 October 2016
zindagi loug aur ishq e haqiqi.
Zindagi log ehsas ishq e majazi aur phr ishq e haqiqi
In sab ki baat karen to in sab ka buht gehra taluq hai apas main yah meri nazar main ek life cycle hai jo kabhi na kabhi har insan ki zindagi main hoti ha yani insan zarore is cyle sy guzarta hai yah woh cheezain hain jo insan ko zindagi ka maza aur dard dono he dayti hain chahay wo koi bhe kisi bhe rishtay ki surat main ho main nay zindagi ko buht qareeb sy jannay ki koshish ki aur humesha ek he zindagi ka maqsid jana jo main agay jaa ker bayan karogi.
agr hum sab say pehlay logo ki baat kare jo humari zindagi mai atay hain kia kabhi soucha hai loug humari zindagi main kyun atay hain jinhe ek din jana he hota hai ? Main nay soucha to mje ek jawab mila logo bhe us samander ki lehar ki tarah hotay hain jo kabhi taizi sy samander kay kiranay ati ha to kabhi dheeray say ati hai kabhi ouchi hoti hai to kabhi neechi kabhi shoor machati ati hai to kabhi khamoshi say ati hai par jis tarah ati hai usi tarah jati hai uski koi bhe noiyat ho wo usi noiyat sy wapis jati hai kabhi logo ko dooba dayti hai to kabhi loug samader k kiranay par tanha he kharay reh jatay hain bilkul isi tarah loug bhe humri zindagi main atay hain kabhi thoray waqt kay lie to kabhi taveeel arsay k lie lakin unhe jana lazmi hota hai wo waisy he jatay hai jaisa apki zindagi main ai thay par jatay waqt apko us samader kay kiranay par tanha chore jatay hai ya phr apnay sath lay jatay hain ya phr ap sari zindagi un logo ki yaadon main doobay he reh jatay hain yahan logo k sath jany ka maqsid jismani nhe balkay rooh ka hona hai zindagi aur logo ka apas mai bht gehra taluq hai kyun kay "zinda-dagi"; yani zinda logo kay sath guzarnay wala safar yah safar bazahir to bara lagta hai par hota chota hai is safar main chaltay chaltay koi thak sa jata hai to koi thakawat kay bawajud uff tak nhe karta zindagi kay baray main likhon to shayad puri zindagi likhtay likhtay guzar jai kyun kay zindagi main insan wohe sab kuch likhta hai jo wo waqt kay sath sath seekhta aur janta hai zindagi logo kay sath he chalti aur unhe kay sath he khatam hoti hai jab insan paida hota apni ankhain duniya main khulta hai to loug uskay ird gird jama hotay hain aur jab zindagi kay safar main hota hai to tab bhe loug usk ird gird majod hoty hain pr humesha nhe rehtay aur kbhi kbhi majod hotay huway bhe unki majodgi na honay k barabar hoti hai jaisay unka wajud to ho par wo apk sath majod nhe ho jab apko unki zarorat ho to wo mau phir laytay hain jab ap unhe pukaray to kaan band karlayty hain jab ap ro rahay ho to wo nabina hujatay hain jab apko unka sath chaye ho to wo mazor ban jatay hain aur phir akhair main jab apki ankhain band hoti hain to wo loug apkay sath apkay us jism ko kandha dyny ajatay hain jismain jan nh hoti jinhony apna hath barha kar sath nhe nibhaya ap par ronay ajatay hain jinhonay apki zindagi main anso nhe pouchay apki baatain karnay lag jatay hain jinhonay apka dard nhe suna yani paida honay say mout tak loug apkay sath rehtay hain par kbhi apnay ban kr kbhi beganay ban kar pr ek na ek din in logo ko zindagi sy jana he parta hai koi bhe insan kisi ki zindagi main therta nhto zindagi aur logo ka apas main yahe ek gehra taluq hai kay lougo ki zindagi apas main taluq banatay tortay guzar jaati hai
Ab ajai ehsas jazbat yah wo cheezain hain jo sirf mehsos ki jaskti hain ya dekhai daynay wali nhe hain insan ashraf ul makhloqaat hai usmain yah khubi hai wo har ehsas ko mehsos karsakta hai us main jazbat pai jatay hain chahay wo mohabbat k ho ya phr nafart kay koi bhe insan agr kisi say dil ka rishta banata hai to wo pehlay usk dil main kisi k lie jazbat paida hotay hain aur usy ehsas hota hai phir wo us ehsas ko mehsos karta hai jab ja kar wo kisi sy dil ka rishta banata hai aur usk dil main kisi k lie jazbat paida hotay hain wo usy mohabbat ka naam daynay lagta hai jisy hum ishq e majazi kehtay hain
Ishq e majazi yani insani mohabbat ishq e majazi ki buht si tareefain hogi par meray nazdeek ishq e majazi insan ko dard iziyat zillat ruswai aur tanhai k siwa kuch bhe nhe dayta aur agr khushiyan dayta bhe hai to wo ek humsafar(husband/wife) k roop main par kabi wo humsafar bhe apko takleef dayta hai kher hum yahan life cycle ki baat karhay hain to jab insan ki zindagi main loug atay hain phr jazbat paida hotay jisay hum mohabbat ishq ka naam daytay hain to yahe wo point hota hai jahan insan akar zero ban jata hai wo ek nuqta he ban kr reh jata hai ishq e majazi yohi kisi say chaltay phirtay nhe hu jata chaltay phirnay wali dillagi ko main ishq nhe smjhti yah sirf kuch dino ki dillagi hoti hai jo kuch saal ya mahino kay sath ikhtimam pazeer hujati hai ishq to hota hai jo achay bhalay insan ko ujaar dayta hai insan par is tarah lagta hai jaisay lakri par deemak aur phr usy he khaa jata hai ishq insan ko kabhi kabhi itna bebas bana dayta hai k wo fakeeron ki tarah apni mohabbat sy bheek mangnay pr majbor hujata hai wo us say ek bar mohabbat nhe chahata wo us insan ko chahata hai jisy wo mohabbat karta hai yahi wo jaga stage hoti hai jab insan insan kay agay mohabbat ki bheek mangtay mangtay apny Rab ki bargaaha main hazir hujata hai wo thaak jata hai apni mohabbat k agay hath pehla kar uskay agay girgira kr uskay agay apny anso dekha kr par uski mohabbat us waqt nabina googi aur mazoor ban jati hai jo us par zara bhe reham nhe khaati insan kbhi kbhi ishq e mazaji main khud ko is qadar barbad kar layta hai k usko abad hotay hotay kahin saal lag jatay hain ya phr us banjaar zameen jaisay insan ko koi basanay ki koshish bhe kare to wo abad nhe ho pata wo khushaal nhe ban pata par sirf ek zaat ek zaat usy abad kardti hai agr wo khud say hona chahay to wo jab apny Rab kay agay haath pehalata hai apnay Rab kay agay girgarta hai usi kay agay apnay anso dikhata hai to isi doraan wo apny Rab ki mohabbat main shiddat k sath Girftaar hojata hai aur mazbot rishta bana layta hai jisay hum Isha e Haqiqi kehtay hain
Ishq e Haqiqi insan ko wo sukoon rahat dayti hai jiska insan kabi tasavur nhe karskta Ishq e Haqiqi say murad naa sirf Ibadat karna hai apny Rab ki Balkay Insanon say yani apny Rab kay bando sy bhe mohabbat karna hai ishq e Haqiqi ka har gaiz yah matlab nhe k insan Rab ki ibadat usay mohabbat karen balkay apny Rab Ki mohabbat main wo logo say mohabbat hamdardi madad kare unhe is bat ka ehsas dilai k wo tanha nhe unk sath unka Rab bhe hai aur usk Rab k banday bhe hain jo uska dard smjhtay dekhtay suntay aur mehsos kartay hai. KHALIQ TAK POUCHNAY KA RAASTA KHALIQ KI MAKHLOQ SY MOHABBAT HAI IMAM ZAIN Ul ABIDEEN A.S kuch log yah smjhtay hain k ishq e haqiqi duniya say mur phir lainay aur har waqt apny Rab ki ibadat ka naam hai nhe ishq e Haqiqi Apny Rab sy Rabtay main rehtay huwy uski Makhloq ki madad mohabbat aur hamdardi ka naam hai han duniya sy mau phir lainay ka matlab duniya ki aram o aasaih aur kisi say bhe koi tawakul koi bhe umeed nhe laganay ko kehtay hain par iska mtlb yah nh k ap logon say mohabbat karna chore dain mohabbt kare par apny Rab ki khatir par Deen o duniya ko sath lay kr chalna aur Apny Rab ki raza main Razi hona meri nazar main ishq e haqiqi kehlaata hai aur shayad yahe zindagi ka maqsid bhe hai jisko mai nay kahin bar dhoodnay ki smjhnay ki koshish ki par mujhay humesha yahe ek jawab mila kay Rab say Mohabbat duniya ko Ibadat kar k dekhai nh jati Rab say Mohabbat duniya ko Allah ki Makhloq say mohabbat kar kay khud ba khud nazar ajati hai phr insan apny Rab ki marzi main he usk pasandeda Logon say mohabbat kar k izzat mohabbat sukoo aur khushi paata hai jisay main ishq e majazi nhe ishq e Haqiqi smjhti hon
Logo ka tumsay umeedon ka wabasta hona ek naimat hai Imam Jaffar Sadiq A.s
Logo ka tumsay umeedon ka wabasta hona ek naimat hai Imam Jaffar Sadiq A.s
Zindagi loug ishq e majazi phr akhair main ishq e haqiqi yahi life cyle ha
Agr apkay pas loug apny dard dukh aur is yaqeen say atay hain k ap unki madad kar k dard dukh bant kar unhe mohabbat day kr chand alfaz keh kr unhain khush aur talasi day saktay hain to yaqeen janay Allah ka ap par bht laram hai k jisnay apko apni Makhloq ki khidmat aur mohabbat k lie apko muntakhib kia
Khatam shud
Wednesday, 19 October 2016
mohabbat
"Mohabbat."
Kehtay hain jab insan kisi phool ko pasand karta hai to wo usy tor dayta hai chahay wo totnay k bad murjah kyun naa jai par jab us say mohabbat karta ha to roz usko pani daalta hai kay kahin kharab na hujai uska khayal rakhta hai mohabbat aur pasand ko loug aksar samjh nahe paatay usmai farq nahi kar paatay woh pasand ko he mohabbat samjh laytay hain mohabbat ka dawa to har koi karta hai par usko nibhana har koi nahi janta
Humain kisi ka andaz uski koi aisi baat pasand ajati hai kay hum bas usay he panay ki zid kar baithay hain uski koi aisi khubi jo uski sab khamiyon par bhari par jati hai aur uskay siwa kuch dekhai nh dayta par jaisi he humari zid puri hujati hai aur hum usy hasil karlayty hain to uski qadar karna chor dytay hain aur uski qeemat khatam hoti chali jati hai bilkul jaisy koi naya suit kharedna aur waqt kay sath sath uska puranay hotay he usko phaink dayn
Apni khuwaishat ki khatir kisi ko chahana mohabbat nhe pasand keh layti hai bohat say loug mohabbat aur pasand main farq nahi kar paatay
Par mohabbat woh jazba hai jis main ap khud to takleef dard bardasht kar laytay hain par jis insan say ap mohabbat kartay hain usy nhe day patay . par mohabbat insan ko dard zarore dayti hai rulati hai tarapti hai insan ko zinda hotay huway bhe zinda nahi rehnay dayti wo jeeta hai pr jee nahi pata mohabbat k bina wo saans layta hai par uska jism kisi mitti k dhaair ki tarah ban chuka hota hai wo ek putlay ki tarah ban jata hai jis main jaan nhe hoti
Mohabbat insan ko aisay aisay kaam karwa dayti hai jis ka usnay khud bhe tasavur nhe kia hota kyun kay mohabbat ek jazba kay sath sath insan ka janoon hoti hai jo usko janooni bana dayti hai woh mohabbat ki khatir khud ko aziyat bhe day dayta hai aur kabhi kabhi un logon ko bhe jo us insan sy joray ho kyun kay mohabbat ek insan say jor to dayti hai par wahin kahin insanon say durr bhe kardayti hai jab insan ko mohabbat hoti hai to uskay parr lag jatay hain wo khud ko mohabbat ki buland tareen sata par dekhna shuru kardayta hai aur koshish karta hai wo har us maqam par pouch jai jahan uski mohabbat jati ho wo us parinday ki tarah ouchi uraan bharnay lagta hai jis kay naaye naye parr atay hain aur abhi wo urna he seekta hai kabhi girta hai kabi sambhalta hai ek waqt ata hai k wo ouchi uraan barhny lgta hai uska luft laynay lagta hai lakin wo urtay waqt is baat ko bhul jata hai kay asmaan par khali wohe nhe urha kartay wo bhul jata hai asmaan par ek aisi dur bhe hoti hai jo usky par kant kr usko zakhmi aur mar sakti hai wo apni mohabbat apni khushi mai is qadar maagan hota hai k us dur ko dekh he nh pata aur jab urtay waqt usk par kat jai to wo kahin ka nhe rehta naa asmaan ki bulandi par naa zameen par woh usi ouchi sy zakhmi hotay hua neechay zameen par to ata hai par ya uski qismat hoti hai kay wo gir ker mar jai ya phr zinda reh kr tarapta rehay aur sari zindagi khud ko kosta rehay kay usnay itni uchi uraan barhi he kyun k jis nay usay is qadar nuqsan pouchaya bilkul isi tarah mohabbat bhe insan ka haal kuch yohi kerti hai pehlay pehlay buht khubsurat haseen aur dilkash lagti hai par jaisy jaisay insan mohabbat ki us buland tareen manzil par pouchata hai jahan wo khud ko mohabbat mai kamiyab tasavur krnay lagta hai bas usi manzil par akar agr mohabbat usy dhooka day jai to wo isi tarah girta hai kay wo kahin ka nahe rehta na wo mohabbat ko hasil kar pta hai naa mohabbat usy apna bana pati hai usy mohabbat kay sath rehnay ki adat jeenay nhe dayti woh mohabbat ki tarap mai tarapta rehta hai aur chahatay huway bhe usy hasil nhe kar pata wo khud ko kahin khoo dayta hai phir naa usay mohabbat milti hai naa he wo khud ko dhoond pata hai wo mohabbat kay us veeran jungle main kahin khoo jata hai jahan uski mulaqat tanhai yaadon us par hansti uska mazaq urahti lakiroon nafrat kay dangal anso say hota hai yah wo jungle hai jahan say wapis anay ka raasta bht kam loug dhoond patay hai aur buht say dhoontna he nhe chahtay woh wahin rehna chahatay hainwo insan is tarah gum hota ha.
wo insan is tarah gum hota hai k usy samnay baithay dusray insanon sy miltay huway bhe khud ko tanha pata hai Is jungle tak janay ka raasta sirf mohabbat he batati hai par wo bhe jab tab apki mohabbat kahin khoo jai aur phir kabhi apko nahe milay mohabbat apsay durr jaatay waqt apko us veeran jungle main chorr jati hai jiska apko wahim o gumaan mai bhe nahi hota wahan sukkay huway pattaon murjah huway phoolon rengtay keeron aur daldal kay siwa kuch bhe nhe hota usy us insan ki yaadain un sukkon patton main dekhai daynay lagti hai wo murjhai huwi phoolon ko dekh kr hansi khushi main bitai muskuratay chehron ko yaad karta hai us insan ki kami usy reengtain keeron ki tarah kanti hai aur woh dard e tanhai kay daldal main dhansta he chala jata hai<
Kehtay hain mohabbat insan ko mazbot banati hai theek he to kehatay hain pehlay khushi banti hai phir uski adat insan ki kamzori banti hai phir wohe kamzori dheeray dheeray usy zakhm daynay lagti hai insan kahin bar zakhmi hota hai bar bar hota hai par ek waqt ata hai k woh zakham bharany lagtay hain aur jab insan k zakham bhar jai to wo mazbot ban jata hai phir usy koi duniya ki taqqat kamzor nhe bana sakti woh pehlay jo mohabbat main khaak ban gaya tha wo usi buland tareen sata par akar jo gira tha wo phir sy to us bulandi tak janay sy darta hai par wo gussay badlay main usi buland manzil ki tarah bannay ki koshish karta hai aur khaak sy pahar ki shakala ikhitar kar jata hai mazbot
Aur buland par jis par charna mushkil hota hai bilkul isi tarah us pahar jaisay insan ka phr sy mohabbat mushkil hojata hai loug atay hain koshish kartay hain us pahar par apna ghar basai par us pr rehna asaan nhe hota aur agr ghr basa bhe lain to jab woh wahan basay logon ko takleef dina shuru krdyta hai zalzalay ki surat main to kabi atish fiza ki surat main lougon ko usky ander jalti hui aag dekhai dayti hai par woh yah dekh nh patay kay aksar heeray jawaharaat bhe unhe chaatano jaisy insanon sy miltay hain jinhe logon naay sirf khud garz nuqsaan pouchanay wala dard dainy wala smjh liya hota hai wo bhul jatay hai k us chatan jaisay dekhai dainay walay insan kay ander ek narm dil insan chupa hai jo koi bhe nhe pehchan pata lakin ek heeray ki pehchan johri ko he hoti hai wo pechan kar us insan ko paa layta hai aur jisy duniya pattar dil insan smjhti hai usy duniya k samnay lay kar akar ata hai to duniya us insan ko heera dekh kr hairaan reh jati hai. Mohabbat insan ko pehlay kaak krti hai phr mazbot chataan banati hai aur phr usi mazbot chaatan sy chupa ek heera nikalta hai jissay duniya mamoli pattar smjh layti hai aur jab wohe heera apni mohabbat kay samnay ata hai to mohabbat us heeray ko wapis paana chahati hai wo ussy phr sy hasil karna chahti hai lakin wo heera ab mohabbat kay dam nhe bika karta wo us jorhi ka qarz dar hojata hai jisnay usy pechana aur duniya kay samnay mutarif krwaya wo us ka ehsan mand hujata hai wo mohabbat kay qareeb bhe jana pasand nhe karta usy mohabbat sy hasil ki janay wali cheezain buri lagnay lagti hai agr mohabbat ussay chori karnay ki koshish bhe kare to woh cheek cheekh kr kehta hai kay mje mohabbat say nafrat hai mohabbat naa us heeray ko chura pati hai aur duniya kay samnay benaqab hujati hai yah wohe mohabbat thi kay jisnay us heeray jaisay insan ko mushkil wqat main chor dia tha aur jb wo heeray jaisa insan shoharat ki bulandi tak pouch gaya to apna haq jatatay huway usy wapis panay agayae wo mohabbat jisnay usy zaleel o ruswa kia usy tab chora jab usy sabsy zaida mohabbat ki zarorat thi wo tarapta reha pr wo lout kr nahi par ab ai jab wo duniya kay samnay heera ban kr pesh huchuka hai to wo heeray jaisay insan phir kabi mohabbat kay daaam nhe bikta
Khud ko kabhi dekhna agr tm pehlay kisi insan ki mohabbat k agay bik gaye thay pr ab kisi kay agay bik nhe saktay to tm bhe wohe heera ban chukay ho jiski maang to buht hai par ab wo mamoli damo bika yuhi bazaron main bika nhe karta
Syeda hina zaidi
Saturday, 24 September 2016
gehri raat.
Yah adhi raat main wohe loug apk khayal main atay hain jinsy ap bht mohabbat kertay ho yah phir bht nafrat. Yah raat aksar humain un dino ki yaad dila kar rula dyti hai jinhe hum bhul jana chahtay ho , yah phir hansa dyti hain jinhe hum bar bar jeena chahaty ho.. yah andheri gehri raat insan main us gehrai say utarti hai k ussy wo gehri khubsurat baatain ya phr woh gehri chubti hui talkh yaadon ki yaad dilati hain jinhe woh phir kbhi yaad nhe karna chahata. Yah gehri raaatain mjhy qalam uthanay pr majbor krdyti hai un logo k lie jo dil mai aisy rehty ho jaisy unhonay dil par ek zameen khareedi ho aur us pr wo naa apna ghr banatay ho naa he kisi aur ko rehnay dyty ho. Yah gehri raat mje un logo k lie likhnay pr majboor krdyti hai jinhe mera dil itni shiddat sy chahata ho k har pal unhe dekhna aur suna chahta ho.. yah gehri raat mje samandar ki us gehrai pr lay kr jaa ruk dyti hai jahan sy doobna mumkin to ho par doob nah sakti ho.. ya gehri raat mje us chand ki roshni jaisi lagti hai jo sitaron k hajoom main tanha ho, uska koi sathi nhe ho par uski gehri roshni sab pr bhari ho.. ya gehri raat mje un logo k lie likhny pr majboor krdyti hai jo Maabaap k pyar ko tarastay hu.. jinhe duniya ki baatain raat ko sonay naa dyti ho.. jo mau chupa kr karwat kr k rotay ho.. ya gehri raat mje un logo k lie likhnay pr majboor krdyti hai jo najanay kitnay gheray raaz dil mai chupai baitho ho par unhe sunay smjhnay wala koi nhe ho.. ya gheri raat mje un gehray ankhon k ird gird par halkon pr likhnay k lie majbor krdyti hai jo din bhar k mehnat k baad bhe kych hasil naa kr patay ho.. ya gehri raat mje us mazdoor k khali paith bacho k zameen pr soyee , bina kapro k gareeb k laalo k lie likhnay pr majboor krdti hai jisy puray din koi dehari naa mili ho.. ya gehri raat mra hath nh rukti.. bas chahti hai mai inko suny, khamoshi sy.. un cheekho ko suno jo sunai nh dyti.. un asno ko dekho jo girtay nh dekhtay.. un fareedo ko suno jinki awaaz nh hoti.. un bebas lacharo ki suno jinka koi nhe.. ya gehri raat mje sy bht gehri baatain likhwa dyti hai... jo mje smjh nh ati itni gehri baatain kaisy khud ba khud ajati hain..
Syeda hina zaidi
Friday, 23 September 2016
Zindagi kay chotay say safar mai , main nay ab tak sirf ek baat jani hai "koi insan kaisa b hota dil ka bura nh hota" bas humra usko dekhnay ka nazariya galat hota hai. Hum usko smjh nh patay.. hum kisi ko chand lamho mai judge nh kr skhty. Saalon lg jatay hai kisi ko janay main. Hume nh malom hota muskurata hui chehry k peechay kitnay dard chuppy hai. Wo kounsi janglar rha hai. Bazahir hume wo hasta muskurata nazar ata h par wo asal mai kahin manzilon sy guzar raha hota h wo khud ko hr cheez m masrof rkhta ha wo duniya ko apni kamzori zahir nh hona dyta k kahin duniya usko pao talay rooondh kr chli jai wo pattar dil bana rehta h par asal m ander sy wo khaak huchuka hota h hum aisy logo ko pechan nh ptay qk hum unki bazahir halat ko dekhty h hum kbi kbi aisy logo ko bht dukh dyty h hume malom nh hota hum unhe apny lafzon sy chaaani krdyty h baba kehty h beita sb k sth bhalaiye kro kisi ko dukh na do kia pata wo insan ks dard sy guzar raha hu maa kehti h kisi ka dil kbi nhe dekho Allah dkh rha h kahin palat kr tmhry ps naa ajai hum logo ko unk pehanaway usk rang nasal unk bolnay uthany baithy k anadaz sy un ko pasand naa pasand krny lgty h ya janay bina k unki rooh kaisi h is baat ko nazarandaz krdyty h wo bhe Allah ki banai hui makhloq hai unka b dil h hum unhe tanha chor dyty hai qk loug unsy dur bhagty h par aisa he wqt hota h jb apka imtiahn hota h un logo ko thamnay ka unhe khud sy jor kr duniya ko dekhnay ka k ya loug b apki tarah ha par apka unko dekhnay ka nazariya galat hai logo k sth bhalaiyi kro loug tmhry sth kregy.
Tuesday, 13 September 2016
قربانی
Apni aziz cheez ko smbhal kr rakhnay ka hunur to sabko ata hai us say mohabbat karna daikh bhaal karna sab ko ata hai par ussay dusro ki khushi ki khatir Qurban kardaina kisi kisi ko ata hai zindagi main bht say aisy morr atay hain jab insan ko apni sab sy khubsurat dil aziz cheez ki qurbani daina parti hai par har kisi main itni himmta itni taqqat nhe hoti kay wo qurban karday har kisi main itni salahiyat nhe hoti k wo zindagi bhar chahany wali cheez ko qurban krdain.. Allah nay jab Hazrat Ibrahim a.s say unkay beitay Hazrat Ismail a.s ki Qurbani Mangi to Hazrat Ibrahim a.s apny khoon apni olad ko Allah ki rah main Qurban karnay ko taiyar hogae aur ankhon par patti band kr Jab Hazrat ismail a.s par churri phirnay lagay Allah ko unki yah baat itni pasand ai kay Hazrat Ismail a.s ki jaga Dombah agaya Yah waqaiya itna khubsurat hai kay yah naa sirf humain har saal Sunnat e Ibrahimi ada kar k uski yaad daiyta hai balkay yah hum main Qurbani ka jazba bhe paida karta hai kay hum kis kis tarah sy apni khuwaisht apni cheezo ki Qurbani day saktay hain humain aksar apni zindagi mai Qurbani dainay walay loug dekhai nh daytay kyun k unki pardah poshi hoti hai yah phir aksar Qurbani humri nazaro k samnay hoti hai par humain uska ehsas nhe hota Lakin ab Hum un Qurbani ka zikar kartay hain jo aam dino mai humaray lie humaray apnay daytay hain. Hum un rishto ki baat kartay hain jo saara saal kahin naa kahin kisi naa kisi morr pr akar humray lie apni har cheez Qurban karny ko taiyar hujatay hain. Uski shuruwat sab say khubsurat aur afzal rishtay say kartay hain kehtay hain agr jannat dekhni ho to uskay Qadmon ko dekh lo Maa yah wo rishta hai jiska ko naimulbadal nahe. Us jaisi mohabbat duniya k kisi konay mai dhoondny sy bhe nh milti " ;Main tmhain satar maaon say ziada chahany wala hon " Maa ki ahmiyat ka andaza is baat sy bhe kia jaskta hai k Allah nay kisi bhe rishtay ki mohabbat ka zikar nhe sirf Maa ki mohabbat ko mukhatib kia jab yah Maa Qurbani dainay par ati hai to duniya kay saray rishto ki Qurbani usk agay pheenki par jati hai Bacho ki khuwaishat k agay apni khuwaisht Qurban kardayti hai ek waqt khud bhooki so jati hai par apny bacho ko bhooka nhe sonay dayti Beiti ki shadi ho to apna zeewar bech dayti hai mgr usy khali hath janay nh dayti koi dard koi takleef koi mushkil hu to uska zikar kisi sy nhe karti khud hi jhalti rehti hai par bachay ko takleef ho to Maa kahin kahin raaton ko jag kar uski dekh bhaal karti hai wahin dusri taraf maa borhi hujai to bachay usy old home bejh dain tab bhe unhe lambi umer ki duai dayti hai par thakti nhe lakin ek waqt zarore ata hai jab thaak kr mout ki aghosh mai humesha k lie so jati hai sari zindagi Qurbani daytay daytay Khud Qurban hojati hai. Par uski qurbani har kisi ko yaad nh rehti
Baap yah wo rishta hai jo ek bar khud achay kapray nhe pehanta pr apni olad ko achay kapro main dekhna pasand karta hai. Khud sari umer do kurta shalwar aur patti hui jeans mai guzar dayta hai par apni olad kay pattay hui jootay isko raat ki nend sukoon sy sonay nhe daytay buson main dhaaka khaata baap ek bar khud shehar shehar nhe ghoomta pr apni olad ko achi taleem aur nokari k liya dusray mulk janay k lie paisa jama karta khud dhoop mai paidal safar karlaiyta hai par apni olad k lie saaya ban jata hai par olaad kabhi kabhi is baap ki qadaroqeemat ka andaza he nh laga pati wo uski chappi hui qurbani ko dekh he nh paati woh baap ko aksar noton( paisa) ki machine smjhti hai is haqiqat sy bekhabar kay usnay apni kahin khuwaishat ko apni olad ki khuwaishat pr qurban kardia.
Beiti jo rehmat hai jo ghr ki ronaq kehlati hai maabaap k ghr mai iska basera kuch saalon ka he hota hai phir churiya ki tarah urh kar apna ashina sunsaan kr k chali jati hai yah beiti rehmat to hoti hai par iski izzat ghr ki izzat keh lati hai isk sar par chadar ghr ki chatt kehlati hai yah beiti aksar apny maabaap ki khuwaisht par khud ko qurban kardyti hai jiska pata sirf usay khud hi hota hai koi iski qurbani ko smjh nahi sakta yah kbhi apni pasand mohabbat ko maabaap ki pasand par qurban kardyti hai to kbhi
Susral main dard jhelti rehti hai pr mau sy awaz tak nhe nikalti khamoshi sy takleef pareshani jhelti rehti hai lakin maabaap sy shikwa nh karti k kahin unhe takleef naa pouchnay.
Beita jisy naimat kehtay hain jo wo ghr aur baap ka sahara banay dusray mulk chala jata hai. Pardais main tanha zindgi guzarta hai maa k hath ka khana khanay wala zindagi ki sakhtiyon sy khud khana banana seekh jata hai behan ko bat bat pr chirnay wala doston k sath dair tak bahar rehnay pr baap ki dant khanay wala beita bhai tanhai main saray tehwaar guzarta hai
Har insan apni apni jaga koi na koi Qurbani dayta hai chahay wo choti ho yah bari par har kisi ki nazar us qurbani ko dekh nahe sakti kabi dost kisi dost k lie qurbani dayta hai to koi bhai apni behan k lie to kabhi behan apnay chotay behan bhaiyon k lie.
Hum agr rishton k elawa un jazbat un cheezon ki baat ki jai to insan mai paae jati hain jinka wajood nazar nhe ata jinka naam to hai par wo dekhai nhe daytin wo sirf ehsas kay jazbay sy mehsos ki jati hain jinhe hum aksar Qurban karna apni toheen smjhtay hai aana nafrat bughz hasad jalan gussa yah wo ehsasat hai jinhe hum aksar apny dil o dimgh mai paal kr rakhtay hain aur unki Qurbani daina apni toheen smjhtay hain lakin agr inki Qurbani naa di jai to yah insan ko kbhi chain sy jeenay nhe daytay aur usy tanha kardaytay hain Qurbani Sirf un cheezon ki nhe di jati jo sirf duniya ko dekhai day Qurbani un cheezon ki bhe di jati hai jo sirf khud Insan aur Allah ko malom hu. Allah ki rah main un tamam khuwaisht ko Qurban kardaina jo Insan aur usk Rab k beech main rukawat ho woh Qurbani insan k Nafs ki hoti hai jo aksar insan qabo nhe kar pata .sabsy bara jihad apny Nafs say karnay ko kaha gaya hai jab insan apny Nafs ko Qabo main rakhna seekh jata hai burai aur un buri cheezon gunnaho say khud ko durr rakhna ki kohsish karnay lagta hai jisy Allah napasand karta hai to wo Allah k nazdeek sabsy bara jihad kehlata hai. Insan smjhta hai wo Qubani to day raha hai pr usy kuch hasil nhe ho raha agr is baat ko dekhna ho k kuch hasil ho raha hai yah nahi to apny Dil main sukoon kay chirag par ek nazar daal kr dekh laina agr apny dil ko besukoon pao to smjh jana tmhray chiraag ki roshni kamzor par rahi hai jiski waja chiraag mai dalay jana wala wo tail(oil) hai jo theek nahi wo tail darasaal tmhra emaan hai agr tmhra emaan kamzor hoga to tmhe kbhi sukoon hasil nhe hoskta lakin tmhri rooh mai bechaini naa pai jai tmhry dil ko yah itminan ho k tmnay jo bhe kia apny Rab k lie apny garz mtlb k lie nahi to tm apny chiraag ki roshni ko buland aur taiz paao gaye jo tmhray dil ko humesha roshan rakhaygi aur dusro k bhe andheray main kàm aigi aur unhe munawar karegi.. Allah talah kisi ki Qurbani ko zaya nhe janay dayta par neeyat achi aur saaf hona chahye bilkul jaisay Hazrat Ibrahim a.s ka apny beitay Hazrat Ismail a.s ki qurbani ki neeyat ka sila dia waisy he Allah har us shakhs ko uski Qurbani ka sila dayta hai jo usnay Rehman ki khushi aur Rehman k bando k lie di.
Thursday, 25 August 2016
because you're a girl
*Because you're a Girl* These are the words which every girl have to listen in her house. By listening these words one must thought that there is a rule implemented here , that'd be break. Either it is inlaws or her parents house, every girl have to make compromises. It is injected in the mind that you must go to the next house where these non-serious attitude will not be tolerated but to be straightforward there is no boy in any house, to whom these things shared to him that work hard because you should have to take responsibility of other's daughter, in this so called soceity if any man would help her wife in her domestic chores he'd be called as *henpecked* husband, if we read the life history of *Hazrat Muhammad PBUH* we will see that our *Prophet PBUH* used to help himself but in our society it feel honoured that women should follow the order of her family members, in that ages, there were women workers, but now every sister mother daughter and wife have become servant of themn If we see the other side of this society we see that by being a Girl, used to be considered as as highly burden on the shoulder of the parents, parents brought her up in a very lavish way,in the end when she gets married, dowry is given to the inlaws of that daugher which cost approximately millions ruppes so that their daughter should be respected there, in islam it has been performed in a very simple way but now the hindu culture adopted and destroy the uniqueness of *Nikaah*, if anyone follows this simple rule, he is considered to be very close fisted man,after marriage girl has ti listen thet thorny words of her inlaws, a girl future os destroyed by the name of honour, why? Because her blunder is *to be a girl*? No doubt,islam has granted the great place to a man but it doesn't right to snatch the happiness of a girl, these are the men who feel themselves very honorable when their sister doesn't get interactive with other men,but their honorship dies when they interacted to other daughters or sisters.. These are the men who kill their sisters by the name of honor, they usually sleep on the bed of their wives which their father in laws grabted granted his daughter ..they desire that wome should do job but they don't tolerate that other men will see his woman,they long for that their women should bring the earning and put it in their hands and never demand anything in return, they want that she should do job and also do domestic household, if out of tiredness she utter something her tongue pull it up...thery are thoses honorable husband who got married twice but never take the responsibilities of only one wife, if their wives demand something for the casual expenditure thery hit her and prove that they are the most honorable one. *O God she has grown up should be get married soon* These words are uttered by the those relative who get active while in the issue of weddings or result otherwise to the whole year they don't show themselves that they are our relatives too, they stay outside like a dead battery, according to the estimation, in a university level girls got more seats than the boys, among some of them girls got married when they enter in the environment of university.Those aunts who think that girls get in the age of 22nd, they will be seemed as old ladies, if they become highly educated and don't get job because if they will adopt the job option, who else will look after their children, who else will do the household chores, street members will have a negative thoughts that their grand daughter do job and come late at night. People also say to the girls that do some efforts on her personality, if u don't do any makeup no one likes u, if you hace any deficiency in her personality it is also your fault but people never tell to her daughters that fault is basically in the eyes of others not in you, *boy is either good or bad he must be earining hand* this things we usually listen in our dayy to day life, but those stingy talks which girls have to listen throughout her childhood, but these things should be understood to the boys.
In *Quran-E-Pak* we read that both men n women are dress to each other, nobody wants to wear filthy dress, it seems that women are usually treating like a dress if one gets up from taht dress he change the dress, girls have been nominated as a brand dresses to which tags are sticked, if u have the ability to buy it u can,here it doesn't mean that women are for sale, rather it means that she is hanged by afflicting some merits and some informative possession, and brand is introducing by the job of her father now whoever wants to get her or reject her why this happened in our society ???? *it's because you are a Girl* you can never reply either you are on a right option because you will be called as rude person and rude girls are never ever be treated as a good girl, stay quiet and never say a word, never laugh loudly, walk smoothly and talk with the manners.. whyy? *because you are a girl* we talk on the rights of women, we celebrate the *world women day* and organize seminars, we teach them how to raise voice for you rights but we don't tell all these rights to men that they don't have any right to snatch the basic rights of women why don't we tell them? Woman is not like a dress Women are not like a dress whenever you want to buy and wear it out and after getting too old you thrash it down,why don't we tell them that if they perform their duties women rights will be accomplished, why they have to be taught that if you love a women respect the women, you will be called as weak man, why don't they realize that if women sacrifice her life for him,he should have to respect her for her sacrifices. If we see that *(mother, daughter, sister, grand-daughter)* have not their lives, their lives spend to sacrifice for others, they left theri mother in old houses who has sacrificed her life for her children , who have taught her each and everything about life. And there is a daughter who gonna protect the dignity of her parents sacrifice to her desire and there is a brother who killed his sister by the name of honor, and there in laws, women are tortured by the name of dowry, is ther all these things happened to a man in this society? Because man has been taught since the childhood that man never cries that's why he torture others, he has been taught that if his one will is not been fulfilled by his earnings he can fulfil it through the dowry of a women if he doesn't get it he can torture her. In the end, *a woman sacrifice her life for the sake of others if she would be sacrificed for their satisfaction, it is not called as Sacrifice rather it is called as assassination or an openly murder* !!
Sunday, 21 August 2016
Mai kia kaho.. aye nani jaan..
Mai janti hu teri khuwaish thi isy khelnay ki tabi itni hifzat sy smbhalay baitha hai..
Harasto ka teri ankhon main jaal bicha hai..
Par ya khilona to uskay bachay ka hai jiski kay tu sath rehta hai...
Wo tujhay bhul gaya k tu bhe ek bacha hai..
aye nani si jaan tera qasorr bas itna hai..
Tu gareeb ka bacha hai..
Friday, 19 August 2016
Tuesday, 9 August 2016
تعلیم تو ہے مگر تہذیب نہیں
Kehtay hai taleem insan ko tameez seekhati hai, mgr kahin bar kuch log kitni he taleem hasil karlainn wo tameez ka tay* bhe nh seekh patay. agr galti sy wo tameez seekh bhe lain to wo tahzeeb ko bhula dytay hai. bas yahen haal kuch humray mashray ka horha hai. taleem to achi si achi hasil karhy hai mgr tameez aur tahzeeb bhulatay ja rhy hai. koi bhe shakhs kisi baray idaray sy taleem hasil karlain phir dekhaiye wo khud ko bara insan smjh kr dusron ko apny say kamtarr kaisay smjhnay lagta h. unk pas taleem to hogi hai degree to hoti hai mgr aqal kam hujati hai. kaisay? ab ap khud he dekh lai aj kal k designers ko lakho ruppy k kapray design kartay hai mgr lagta hai jaisay kisi pouchnaay(jahropoucha) ki chindi utha kr design ki hai. models pehn kr jab walk krti hai to lagta hai insay zaida kapron ki zarort kisi ko nh. abhi haal he honay wali kapron ki sale par toti hui khawateen to apny dekhi he hogi wo koi aanparh khawateen nh thi. wo taleemyafta khawateen thi jo brand k peechay aisay ek dusry ko maar rahi thi jaisay ghr mai khanay sy zaida kapron ki qilat hu. rashan ki taqseem mai gareebon ki dhakamphail to suna tha. mgr jaisay jaisay humray darzi ops sorry designers market mai pouchnaay jaisi chindiyaa brand mai laa rhay hai waisay waissy khawateen ko poucha numa kapray khareednay ka shouq bharta ja rha hai. chlao kisi tarah to pouchay sy lagao hua. jaisy jaisy insan koo oucha maqam hasil krta ja rha h waisy he uski aqal usk qadmon mai ati ja rhi hai. ab ap koi bhe film utha kr dekh lai apni tahzeeb bhula kr india ki tahzeeb apnanatay hui items song dalay ja rhy hai. saans bahu gopi bahu ahem jee ko dekh dekh kr ab pakistan mai b ek adat mazlom aurat aur do àdatt mard k gird ghumti hui kahanai k siwa koi aisi kahani nazar sy nh guzarti jismai koi sabaq hu siwae talaq shaddi jaissy humry mashray mai isy bhar kr koi dusra issue nh hu. ek saal pehlay honay wala waqaiye to sb ko yad he hoga jab mohabbat mai nakami k baad do school kay larka larki nay ek dusray ko goli mar kr apni zindagi khatam krli.. yah dramao filmo ka asar nh tha to phir kia tha? jo umer unki parhnay wli thi usmai wo is tarah ki souch rakhtay thay..jo unkay khaatoot say he wazaiy karha hai k humray mashray ka bacha taleem to hasil krha hai mgr tarbiyat mai koi kami reh rhi.. yah phir tahzeeb sy ussay dur krdia ja rha hai.. yah souch ek dam mashray mai nh ati banai jati hai. Loug 200 rupay ki kitab khareedtay waqt hazar bar souchtay hai mgr 500 rp ka movie ka ticket khareedty wqt ek br bhe nh. qk ab unhe b adat hogahe hai poucha numa kapray pehnti aurton ko dance karty dekhnay ki. to phir mai q na kahu taleem to hai tahzeeb nh. subah sy ghr sy nikala baap do do nokari kr k rat mai ghr mai ghusta hu. chota mota ghr ka kharcha chalati maa mehnat sy kam paison mai kapray siti hu.. 50, 60 hazar university ki fees ada kertay bàap sy kharchay k liya paisa mangta beita apni gf k liya tohfa khareedta ho , ghr ki izzat beiti ko maa parhanay k liya mashray ki buri nazar sy bachanay k lia duae parh kr chadar mai ruksat krti hu. wohe beiti kisi namehram k sth date par jati hu, to phir mai kaisay naa kahu taleem to hai mgr tahzeeb nh. maabaap baray khoon pasinaay ki kaamai sy bacho ko parhanay bjhtay hai aala sy aala
taleem hasil karwanay bjhtay hai. unk liya din rat mehnat krty ho mgr tarbiyat k liya thura b wqt naa hu. mohabbat k liya tarasata bacha phir galat rastay ki janib bhartay hui dusron mai mohabbat talash nhe karega to phir kia karega ? maabaap ka farz banta hai wo unhe taleem kay sath sath unki tarbiyat pr bhe tawaju dai. kyun kay wo taleem to achi day mgr tarbiyat m koi kami reh jai to phr taleem sari bekaar hujti hai .. engineer doctor lawyer anchor surgeon ban jai. Mgr tahzeeb na hu to aisi degree koray kagahz k siwa kuch nh. humray nojwano shesha ko fashion smjh k peetay hain hazaron rupay kharch kr k ya smjhty sheeshaa unhe zindagi ka sukon dyta hai mgr jantay nh k sheesha kitna nuqsaan dah hai. jo inhe thuri dair ka sukon to dyta h mgr unki sehat k liya kitna bura hai. inhe thuray sy paison ki kitab khareed kr k parh lai to shayad inhe zindagi ka koi sabaq hasil hujai ....
Sunday, 7 August 2016
Thursday, 4 August 2016
یہاں اچھے لوگ پیچھے رہ جاتے ہیں
برے لوگ چونا لگا کر آگے بڑھ جاتے ہیں
یہاں کامیابی چالاکی سے ہوتی ہے
یہاں شریف لوگ ناکام ہوجاتے ہیں
یہاں چوری کرنے والا چور نہیں امیر کہلاتا ہے
یہاں غریب آٹے کی چکی کی طرح پستا جاتا ہے
یہاں پڑھے لکھے در در مارے مارے پھرتے ہیں
یہاں ڈاکو چور دن دھارے پستول تھامے ، سینہ تانے پھرتے ہیں
یہاں سچ بولنے والے کو خاموش کروا دیا جاتا ہے
یہاں کافروں کے فتوے دیواروں پر چھپتے ہیں
یہاں اختلاف رائے رکھنے والے کو غدار , دشمن سمجھا جاتا ہے
یہاں لوگوں کے ایمان گلی گلی بازاروں میں بکتے ہیں
یہاں بولنے کی بھی پابندی ہے , یہاں بےبس لاچار کی طرف داری بھی جرم ہے
یہاں بے گناہوں کو سزا ملتی ہے ,یہاں مجرم کھلے عام جرم کرتے پھرتے ہیں
یہاں مظلوم لوگ مرتے رہتے ہیں یہاں جنازے پر جنازے کاندھے پر اٹھاۓ اپنے ، اپنوں کے پھرتے ہیں
یہاں لوگ ٣ دن کی عید کے بعد ٤٠ دن کا سوگ مناتے ہیں
یہاں لوگ بستیوں میں جلاۓ جاتے ہیں , خوبصورت چہرے تیزاب سے دلھاۓ جاتے ہیں , تو کبھی زندہ مٹی میں خاموشی سے دفن کردیۓ جاتے ہیں
یہاں لوگ چپ رہتے ہیں ، "سیدہ" انھیں تنگ مت کرو , یہ زندہ لاشوں کی طرح سوتے رہتے ہیں
سیدہ حنا زیدی
Friday, 29 July 2016
takiya aur qalam
Mje aksar uski yaad raat mai he ati hai meray raaz usmai sama jatay hain jazbat ko aisay jabz karta hai kay aglay din kisi ko khabar he nhe hoti anso ko aisy peeta hai jaisay barsaat to hui ho par uski khabar kisi ko nhe hui jab koi pas nh hota to isko galay say laga layti ho jab kisi ki goodh nhe hoti to us pr sar rakh layti ho raat kay andheray mai jab guzari hui talakh yaadon ki barsaat hoti hai to woh meri chaatari ban jata hai jab galay laganay kay lie koi nhe hota to mai usko apny galay sy laga layti ho jab meray roonay ja dil chahta hai to wo mera romaal ban jata hai jab mai cheekhna chahti ho pr uski awaaz kamray say bahar kisi ko sunai naa day to usmai apna mau chupa layti ho aisi khamosh cheekhnay nikalti hain kay phir meray kano tak nhe jati ya meray khushi aur gham dono ka sathi hai us pr girnay walay anso kitnay sachy hai isy ziada koi aur dusra nhe jan sakta aur jab main rotay rotay thaak jao aur anso sukh jai pr darakh say girnay walay sukhay patto ki tarah unhe phr sy jalaya jai to mai apny ek aur sathi ko hath main thaam layti ho yah sathi maray hui jazbat ko aisay kaghaz pr likhta hai kay parhnay walay ki ankho ko bheega dayta hai jab meray pas koi baat Krany wala sunay smjhnay wala koi nhe hota to ya mera sacha dost ban jata hai kahin sawalat jo mrry dil mai majod hotay hai pr unkay jawab mery pas nhe hotay to bas mai isko hath main uthati ho aur ya khud ba khud jawab daydayta hai jaisay ya mery dil aur uski baaton ko janta ho meri har baat sy waqif ho isko malom ho kay mai kia souch rahi ho mje kia chahye aur kis ki zarorat hai ya dost waisay to bachpan sy he hath main thama dia jata hai par us wqt sirf ek cheez ko dekh kr dusri jaga utarna hota hai us wqt iska istimal sahe karna nhe ata kabhi kabhi ya bura lagnay lagta hai lakin jaisay jaisay wqt aur umer guzarti jati hai waisy waisy isy mohabbat barhti jati hai kyun kuch cheezain umer aur wqt he seekhati hai bachpan sy bura lagnay wala dost ab jawani sy mai sacha aur acha dost ban jata hai aur kehtay hai kay bina jazbat kay kisi sy dil sy rishta qaim nhe hoskta islie iski siyae humray jazbat sy is tarah mil jati hai kay jab isy likhtay hai to lagta hai jaisay humray jazbat kaghaz pr utar ai ho bas ya dono dost bachpan say ab tak kay wo sathi hotay hain jo kabhi apka sath nhe chortay bas insay dosti karna aur isko smbhal kr rakhna humara kaam hai kyun kay takiya apkay anso ko jabz karta hai aur qalam apkay jazbat ko tehreer main utar dyta hai!
Subscribe to:
Posts (Atom)